ٹ کریں -->

Moqam e Fatima Zahra Hazoor Jante Hain Lyrics In Urdu 2026

Moqam e Fatima Zahra Hazoor Jante Hain.

Hai Shan Fatima Ki Kya Hazoor Jantay Hain.

Badan Mein Zoaf Nabowat Ne Jab Kiya Mehsos.
Hai Iss Ka Kaun Madawa Hazoor Jantay Hain.

-->

Salam Karne Ki Khatir Sahar Ke Baad Sada.
Dar-e-Batool Pe Jana Hazoor Jantay Hain.

Hazaron Aaein Gay Zahra Ka Hath Mangney Par.
Hai Kis Se Rishta Karana Hazoor Jantay Hain.

Ali-o-Fatima, Hasnain Ko Liye Humrah.
Fatha Mubahila Karna Hazoor Jantay Hain.

Khuda Ke Samne Kya Martaba Hai Zahra Ka.
Yeh Jantay Hain Ali Ya Hazoor Jantay Hain.

Ali Na Hotey Agar Fatima Ka Aalam Mein.
Koi Kafo Nahi Hota Hazoor Jantay Hain.

Riza-e-Haq Ke Liye Our Baqa-e-Dein Ke Liye.
Bohat Zarori Hai Zahra, Hazoor Jantay Hain.

Laqab Churane Se Siddiq Koi Banhta Nahi.
Hai Sacha Kaun Hai Jhota Hazoor Jantay Hain.

Nabi Ko Munh Kya Dikhaein Gay Rooz-e-Mehshar Mein.
Hain Jitnay Dushman-e-Zahra, Hazoor Jantay Hain.

Janab-e-Zahra Ke Dar Se Hai :MOHTASHAM: Ka Waqar.
Ghulam Inn Ka Hoon Adna Hazoor Jantay Hain.

Poet: :Mirza Ahsan Abbas Mohtasham:
Manqabat Khuwan: :Mirza Sajjad Mumtaz:

#MoqameFatimaZahra
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Moqam e Fatima Zahra Hazoor Jante Hain Lyrics In Urdu 2026 Write Up Poster Image

Moqam e Fatima Zahra Hazoor Jante Hain Lyrics In Urdu 2026

Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!