ٹ کریں -->

Inna Aataina Fatima Zahra Rizwan Zaidi and Sons Lyrics In Urdu 2026

Inna Aataina Fatima Zahra Rizwan Zaidi and Sons.

Inna Ataina Fatima Zahra.
Yani Takmeel-e-Mustafa, Zahra.

Teen Aayat Sorah-e-Kausar.
Ya Hassan, Ya Hussain, Ya Zahra.

-->

Sharah-e-Abna AaNa Hai Gayarah Imam.
Our Akeli Nisa AaNa Zahra.

Rab-e-Raziq Woh Rotiyaan Hain Daleel.
Hain Malaik Ki Raziqa Zahra.

Kyun Na Hota Zahoor Ghazi Ka.
Aap Ne Mangi Thi Dua Zahra.

Oss Ko Islam Kar Diya Rab Ne.
Aap Ne Jo Bhi Keh Diya Zahra.

Tu Ne Dar Se Utha Diya Jis Ko.
Woh Kahin Ka Nahi Raha Zahra.

Teri Janat Mein Kaisay Jaye Ga.
Jis Ne Matam Nahi Kiya Zahra.

Kissi Parday Mein Tere Qatil Ko.
Hum Ne Chupney Nahi Diya Zahra.

Main Ne Iss Bar Ke Arezay Mein.
Aap Ka Naam Likh Diya Zahra.

Parh Raha Hoon Main Manqabat :AKBAR:.
Sun Rahi Hain Meri Sada Zahra.

Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Rizwan Zaidi, Sajjad Zaidi, Mesum Zaidi:
Manqabat Volume: :Rizwan Zaidi 2026-27:
Composition: :Rizwan Zaidi:

#InnaAatainaFatimaZahra
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Inna Aataina Fatima Zahra Rizwan Zaidi and Sons Lyrics In Urdu 2026 Write Up Poster Image

Inna Aataina Fatima Zahra Rizwan Zaidi and Sons Lyrics In Urdu 2026

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!