Al Quran Nadeem Sarwar Quran Woh Kitab Hai Lyrics Urdu 2001
Al Quran Nadeem Sarwar Quran Woh Kitab Hai.
Quran Woh Kitab Hai Jo Dars-e-Inqalab Hai.
Hamari Darsgah Hai Seedha Rasta Karbala, Karbala.
Bisme Rab-e-Jahan Bismillah.
Subhan ALLAH Yeh Quran ALLAH, ALLAH.
Umm Al-Kitab Hai Yeh MashALLAH.
Ik Ik Sorah Hai Universal Law.
Quraan Ki Gaud Ka Ik Aik Sorah.
Woh Maida Ho Ke Yaseen-o-Taha.
Sorah-e-Mariyam, Rehman-o-Shora.
Parhtay Hi Rehtey Hain Rab Ka Qaseeda.
Quraan Ki Shan Hai Shan-e-Muhammad.
Quran Hai Meezan-e-Muhammad.
Farman-e-Rab Farman-e-Muhammad.
Nuqta-e-Ba Quran-e-Muhammad.
Kaisay Quran Hai Hum Tak Aaya.
Kis Ne Sikhaya Hai Kis Ne Parhaya.
Hai Kis Gharanay Ka Yeh Sarmaya.
Jaan De Ke Iss Ko Hai Kis Ne Bachaya.
Dein Bhi Bacha Quran Bhi Dekho.
Baqi Raha Eman Bhi Mano.
Kiya Gaya Kis Ka Yeh Bhi Tu Socho.
Ghar Tu Luta Syeda Ka Hai Logo.
Woh Karbala Woh Nabi Ka Gharana.
Quraan Idhar Tu Udhar Hai Zamana.
Aik Aik Parey Ka Maqtal Jana.
Khoon Mein Naha Ke Yeh Sab Ko Batana.
Yeh Karbala Yeh Hai Sham-e-Ghareebaan.
Woh Jaltay Khaimay Woh Aayat-e-Quraan.
Khaimon Mein Bali Sakina Pareshaan.
Zainab Pukari Yeh Bar Sar-e-Maidaan.
Dekha Na Hoga Kissi Ne Woh Manzar.
Jo Karbala Mein Tha :REHAN-o-SARWAR:.
Be Pardah Sari Thi Aal-e-Payamber.
Ik Sar Yeh Kehta Tha Nook-e-Sina Par.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2000-2001:
#AlQuran
#NohayLyrics
#tajpoint