Jaao Key Na Ab Daer Karo Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2005
Jaao Key Na Ab Daer Karo Nadeem Sarwar.
Qafila Lut Gaya Amma Mera Lashkar Na Raha.
Amma Nana Ki Nishani Ali Akbar Na Raha.
Reh Gaya Dard-e-Kamar Haye Baradar Na Raha.
Ab Khabar Aap Ne Li Ghar Ki Keh Jab Ghar Na Raha.
Our Ab Dam-e-Zibha Yeh Poray Mere Armaan Karna.
Arsh Ke Neechay Na Baloon Ko Pareshaan Karna.
Jao Keh Na Ab Dair Karo Dekho Na Amma.
Ab Lal Tera Zeen Pe Hai Our Na Zameen Par.
Aap Aayi Hain Amma Main Salami Ko Na Utha.
Hai Dard Kalejay Mein Jo Uthnay Nahi Deta.
Hasrat Thi Tere Pehlu Mein Dam Mera Nikalta.
Main Chain Se So Jata Teri Gaud Mein Madar.
Kuch Dair Mein Naizay Pe Rakha Hoga Mera Sar.
Na Dekhna Oss Waqt Mujhe Madar-e-Muztar.
Chal Jaye Ga Oss Waqt Tere Qalb Pe Khanjar.
Ghorey Abhi Dorein Gay Meri Lash Ke Opar.
Main Subha Se Ta Asar Uthata Raha Lashay.
Daman Mein Chunay Qasim-e-Noshah Ke Tukray.
Lipta Ali Akbar Ka Kaleja Tha Sina Se.
Amma Mere Chehray Pe Hai Khon-e-Ali Asghar.
Kis Haal Mein Amma Hai Teri Gaud Ka Pala.
Maqtal Mein Mera Kho Gaya Har Aik Ujala.
Hai Kaun Sakina Ko Meri Pochne Wala.
Soye Gi Mere Seene Pe Kaisay Meri Dukhtar.
Dekho Tu Qayamat Hai Bapa Ahl-e-Haram Mein.
Khaimay Se Nikal Aayi Hai Zainab Mere Gham Mein.
Ab Aane Ko Hain Bibiyaan Bahir Koi Dam Mein.
Samjhao Unhein Amma Rahein Khaimay Ke Andar.
Lo Sans Ukharne Lagi Dil Doob Raha Hai.
Nazron Mein Meri Zainab-e-Muztar Ki Rida Hai.
Abid Se Thi Umeed So Woh Gash Mein Para Hai.
Kya Hoga Mere Baad Sakina Ka Muqadar.
Aye :SARWAR-o-REHAN: Biyaan Kaisay Ho Manzar.
Sheh Kehte They Amma Yeh Kara Waqt Hai Mujh Par.
Kis Tarha Kalejay Se Lagoon Aap Ke Uth Kar.
Chomo Ga Qadam Aap Ke Ab Main Lab-e-Kausar.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2004-05:
#JaaoKeyNaAbDaerKaro
#NohayLyrics
#tajpoint