Yeh Meri Dua Hai Ali Jee Lyrics In Urdu 2014
Yeh Meri Dua Hai Ali Jee Lyrics
Zahra Ne Kaha Matam-e-Sarwar Na Rukay Ga Yeh Meri Dua Hai.
Islam Sada Zindah-o-Painda Rahe Ga Yeh Meri Dua Hai.
Ik Pyasay Ne Sajdah Jo Tah-e-Taig Kiya Hai.
Tab Ja Ke Kahin Deen Payamber Ka Bacha Hai.
Yeh Our Kissi Ne Nahi Zahra Ne Kaha Hai.
Paigham-e-Hussain Ibn-e-Ali Zindah Rahe Ga.
Hum Matami Shabeer Ke Hum Ahl-e-Azza Hain.
Hum Qalb-e-Payamber Ke Dharakne Ki Sada Hain.
Hum Madar-e-Shabeer Ki Makhsoos Dua Hain.
Hathoon Mein Sada Parcham-e-Abbas Rahe Ga.
Hai Ulfat-e-Shabeer Meri Maa Ki Amanat.
Ghuti Mein Pilayi Hai Sheh-e-Dein Ki Muhabbat.
Hai Taziya Dari Meri Makhsoos Ibadat.
Har Door Mein Sikka Gham-e-Sarwar Ka Chaley Ga.
Khush Hoon Gay Nabi Majlis-e-Shabeer Mein Aao.
Hur Ban Ke Chalo Bigray Muqadar Ko Banao.
Mazloom Ke Matam Mein Zara Ashk Bahao.
Ghazi Ka Alam Dhop Mein Saya Tumhein De Ga.
Hum Aman Ka Paigham Sunatay Hain Jahan Ko.
Ashor Ko Kya Guzri Batatay Hain Jahan Ko.
Farsh-e-Gham-e-Sarwar Pe Bulatay Hain Jahan Ko.
Iss Dar Pe Jo Aaya Hai Woh Izzat Se Jiye Ga.
Baqi Hai Azza Akbar-e-Dilgeer Ke Dam Se.
Sajdah Hai Bacha Hazrat-e-Shabeer Ke Dam Se.
Baqi Hai Haya Zainab-e-Dilgeer Ke Dam Se.
Aandhi Mein Charag-e-Gham-e-Shabeer Jalay Ga.
Mehsos Yeh Hota Hai :RAZA: Kehti Hai Zahra.
Parhtay Raho Youn Hi Mere Shabeer Ka Noha.
Khud Aaon Gi Main Sunney :ALI JEE: Jo Parhey Ga.
Jo Roye Ga Janat Mein Mere Sath Rahe Ga.
Poet: :Raza Sirsivi:
Noha Khuwan: :Ali Jee:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2014-15:
#YehMeriDuaHai
#NohayLyrics
#tajpoint