Ali Ka Pehla Number Mir Sajjad Mir Lyrics Urdu 2025
Ali Ka Pehla Number Mir Sajjad Mir.
Ya Ali Ya Eliya Ya Murtaza Mushkil Kusha.
Khushiyaan Manao, Sab Ko Bolao, Mehfil Sajao, Narey Lagao.
Ali Ka Pehla Number Hai.
Khuda Ke Baad Nabi Hai.
Nabi Ke Baad Wali Hai.
Wali Yeh Sab Se Behtar Hai.
Koi Kabay Mein Aaya Ho Tu Oss Ka Pehla Number Ho.
Koi Hasnain Ka Baba Ho Tu Oss Ka Pehla Number Ho.
Yeh Azmat Kis Ko Mili Hai, Yeh Izzat Kis Ko Mili Hai.
Ali Zahra Ka Shohar Hai Ali Ka Pehla Number Hai.
Sada Par Jo Muhammad Ki Chala Aaye Woh Pehla Hai.
Jo Pehle Zulashera Se Nazar Aaye Woh Pehla Hai.
Taqabul Kaisa Kissi Se Sabhi Hain Bahir Walay.
Ali Tu Ghar Ka Mimber Hai Ali Ka Pehla Number Hai.
Ali Imam-e-Awwal Hai, Ali Maidaan Mein Awwal Hai.
Ali Ki Baat Aala Hai, Ali Ki Zaat Aala Hai.
Ali Ki Shan Afzal Hai, Ali Insan Afzal Hai.
Ali Har Kam Mein Pehla, Ali Islam Mein Pehla.
Ali Aadam Se Pehle Hai, Ali Har Dam Se Pehle Hai.
Ali Awwal Bhi Aakhir Bhi, Ali Batin Bhi Zahir Bhi.
Ali Maula Ali Aaqa, Ali Rehbar Ali Kausar.
Ali Ki Badshahi Hai, Ali Ism-e-Elahi Hai.
Hadees Aisi Kissi Ki Shan Mein Hum Ko Nahi Milti.
Ali Our Meri Nisbat Hai Wohi Haroon-o-Mosa Ki.
Kahan Woh Nafs-e-Payamber Kahan Hum Jaisay Nokar.
Ali Aaqa Ka Baradar Hai Ali Ka Pehla Number Hai.
Parho Ahzab Ka Sorah Ajab Tha Khof Ka Aalam.
Suni Lalkar Jis Dam Amar Ki Sab Ho Gaye Be Dam.
Utha Phir Kul-e-Emaan Chala Woh Soye Maidaan.
Akela Khud Jo Lashkar Hai Ali Ka Pehla Number Hai.
Pathar Pe Almm Deen Ka Gara Kis Ne.
Lalkar Ke Marhab Ko Pachara Kis Ne.
Ansar-e-Payamber Tu Sabhi They Mojood.
Bolo Bolo Dar-e-Khaybar Ko Ukhara Kis Ne. (Mirza :DABEER:)
Ali Hai Shair-e-Yazdaan.
Ali Hai Mard-e-Maidaan.
Ali Hi Fatah-e-Khaybar Hai.
Yeh Darjah Hum Ne Haider Ko Nahi Bakhsha Jahan Walo.
Nabi Ka Khum Ke Mimber Se Yehi Ayelan Hai Sun Lo.
Ali Hi Rab Ka Wali Hai Ali Hi Mera Wasi Hai.
Ali Tum Sab Ka Rehbar Hai Ali Ka Pehla Number Hai.
Ali Se Bugz Rakhay Ga Nasab Jis Ka Na Ho Acha.
Ali Se Pyar Karta Hai Woh Jis Ka Pak Ho Shajrah.
Ali Ka Zikar Ibadat Ali Ki Fikar Ibadat.
Yehi Qaul-e-Payamber Hai Ali Ka Pehla Number Hai.
Kitabein Tum Bhi Le Aao Hawalay Hum Bhi Latay Hain.
Dikhana Tum Nabi Kabay Mein Kaisay But Giratay Hain.
Zara Dekho Yeh Azmat Jahan Thi Mohar-e-Nabowat.
Wahan Par Paye Haider Hai Ali Ka Pehla Number Hai.
Poet: :Mir Sajjad Mir:
Manqabat Khowan: :Mir Sajjad Mir:
Manqabat Volume: :Mir Sajjad Mir 2024-25:
Composition: :Mir Sajjad Mir – Ali Arman Baltistani:
#AliKaPehlaNumber
#ManqabatLyrics
#tajpoint
New Manqabat Ali Ka Pehla Number Mir Sajjad Mir Lyrics Urdu
13 Rajab Manqabat Ali Ka Pehla Number Mir Sajjad Mir