Taweez e Hassan Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu
تعویزِ حسنؑ
Taveez-e-Hasan Jab Qasim Ne Shabeer Ko Dikhlaya Bhai Ko Bhai Yaad Aaya.
Khat Bhai Ka Parh Kar Roye Dil Dard Se Tharaya Bhai Ko Bhai Yaad Aaya.
Ik Pal Ke Liye Nazron Mein Phira Bhai Ki Shahadat Ka Manzar.
Kya Bain Kiye They Behno Ne Tha Tasht Mein Tukray Tukray Jigar.
Qasim Ka Kahin Yeh Haal Na Ho Iss Baat Ne Tarpaya Bhai Ko Bhai Yaad Aaya.
Tehreer Mein Shabbar Ne Yeh Kaha Taskeen-e-Muhabbat De Dena.
Maqtal Ki Ijazat Jab Mangay Qasim Ko Ijazat De Dena.
Tab Noha Kiya Our Qasim Ko Seene Se Liptaya Bhai Ko Bhai Yaad Aaya.
Khat Parh Ke Ijazat Di Sheh Ne Hathyar Sajay Qasim Ne.
Talwar Laga Kar Patkay Mein Johar Woh Dikhaye Qasim Ne.
Sadqa Jo Utara Zainab Ne Dil Shah Ka Bhar Aaya Bhai Ko Bhai Yaad Aaya.
Ghorey Se Gira Jab Ibn-e-Hasan Maula Ko Pukara Wawela.
Pohanchay Jo Sheh-e-Dein Maqtal Mein Pamal Badan Tha Qasim Ka.
Bhai Ke Pisar Ko Maula Ne Iss Haal Mein Jab Paya Bhai Ko Bhai Yaad Aaya.
Phir Apni Abba Ke Daman Mein Qasim Ko Samaita Maula Ne.
Kis Tarha Uthaon Yeh Lasha Ghazi Ko Pukara Maula Ne.
Qasim Ka Sarapa Tukron Mein Taqdeer Ne Dikhlaya Bhai Ko Bhai Yaad Aaya.
Khaimay Mein Jonhi Laye Lasha Sar Ahl-e-Haram Ne Peet Liya.
Fizza Ne Kaleja Tham Liya Zainab Ke Labon Par Noha Tha.
Farwa Ki Taraf Dekha Sheh Ne Aankhon Mein Lahu Aaya Bhai Ko Bhai Yaad Aaya.
:MEESUM: Woh Qayamat Ka Manzar Tehreer Mein Laya Hai :MAZHAR:.
Gathri Ko Jonhi Khola Sheh Ne Sadaat Hoye Phir Khak Basar.
Ashkon Ko Ali Ka Beta Bhi Tab Rook Nahi Paya Bhai Ko Bhai Yaad Aaya
Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwaan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2022-23:
Composition: :Mazhar Abidi:
#TaweezeHassan
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com