72 Taboot Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

72 Taboot Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

بہتر72 تابوت

Shaheedon Ke Hain Yeh Janazay.
Gareebon Ke Hain Yeh Janazay.
Azadaro Aao Mil Kar Uthao Bahatar 72 Ke Taboot Hain.
Parho Sath Noha Tum Aanso Bahao Bahatar 72 Ke Taboot Hain.
Bahatar 72 Ka Ik Din Mein Farzand-e-Zahra.
Janazay Utha Kar Akelay Hi Laya.
Bari Be Basi Se Har Ik Simt Dekha.
Nahi Tha Koi Bhi Madad Karne Wala.
Tum Ashor Ka Din Tasawar Mein Lao.
Howa Jin Ka Maqtal Mein Pamal Lasha.
Kahin Par Badan They Kahin Unn Ka Sar Tha.
Woh Jin Ko Kafan Bhi Muyassar Na Aaya.
Nahi Tha Janazon Pe Unn Sab Ke Saya.
Rakho Phool Unn Par Kafan Tum Urhao.
Burair-o-Zuhair Our Hur, Wahab-e-Kalbi.
Hain Jaun Our Abis Ke Jaisay Sipahi.
Saeed Our Shozab, Habib-e-Hussaini.
Woh Asghar Hoon Qasim Hoon Akbar Ya Ghazi.
Hum Inn Ke Hain Waris Jahan Ko Batao.
Hain Inn Mein Sabhi Syeda Ke Dularay.
Jinhein Bawafa Bhai Keh Kar Pukarey.
Sabhi They Hussain Ibn-e-Haider Ke Pyaray.
Alam Ke Hi Saye Mein Rehtey They Sare.
Tum Unn Par Alam Ka Pharera Bichao.
Ik Aisa Ho Taboot Jis Par Ho Sehra.
Uthay Aik Taboot Gathri Ke Jaisa.
Ho Taboot Ke Sath Nanha Sa Jhola.
Magar Hai Jo Taboot Rab-e-Wafa Ka.
Sakina Ka Mashkeza Oss Par Sajao.
Ab Iss Silsilay Ko Hai Aagay Barhana.
Jab Aao Tu Bachoon Ko Humrah Lana.
Unhein Yeh Adab Our Saleeqa Sikhana.
Wirasat Yeh Naslon Ko Tum Sonp Jana.
Jo Zahra Se Wadah Kiya Woh Nibhao.
Yeh :Azlan:-o-:MESUM: Jahan Ko Batana.
Sheh-e-Dein Ko Inn Sab Ne Tanha Na Chora.
Hum Inn Ko Bhi Hone Nahi Dein Gay Tanha.
Duaein Humein Dein Gi Khud BiBi Zahra.
Dilon Ki Muradein Yahan Aa Ke Pao.
Poet: :Azlan Azmi:
Noha Khuwan: :Mesum Abbas:
Noha Volum: :Mesum Abbas 2022-23:
#72Taboot
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!