Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale Lyrics 2022
Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale Syed Raza Abbas Zaidi
Shabeer Ke Chehray Se Gham Door Karne Walay.
Tum Door Kar Do Aa Kar Abbas Gham Hamarey.
Tum Baab-e-Hawaij Ho Zainab Ka Sahara Ho.
Ho Fazal-o-Karam Hum Pe Tum Fazal Ke Baba Ho.
Hum Kis Se Madad Mangay Koi Nahi Hamara.
Bas Jee Rahe Hain Maula Hum Aap Ke Saharey.
Milney Ke Liye Aaon Hasrat Hai Mere Dil Ki.
Na Rasta Aasaan Hai Na Zaad-e-Safar Koi.
Mushkil Yeh Meri Hal Ho Mushkil Kusha Ke Betay.
Aa Jaein Jald Hum Bhi Darbar Mein Tumhare.
Jab Ghar Mein Azakhana Ro Ro Ke Sajatay Hain.
Yeh Kehte Hoye Momin Hathoon Ko Uthatay Hain.
Zahra Ki Dua Ho Tum Sun Lo Dua Hamari.
Aa Jao Mere Ghar Bhi Umm Ul-Baneen Ke Pyaray.
Matam Ki Qasam Maula Seene Ka Sakoon Tum Ho.
Aye Qamar-e-Bani Hashim Ab Chain Miley Dil Ko.
Oss Bali Sakina Ki Ghurbat Ka Wasta Hai.
Kano Se Jis Ke Cheeney Zalim Ne Goshwaray.
Andaz-e-Wafadari Dunya Ko Sikhatay Hain.
Woh Hath Rahein Baqi Parcham Jo Uthatay Hain.
Main Wasta Oss Pal Ka Deta Hoon Tum Ko Maula.
Kat Kar Girey They Bazu Jab Nehar Ke Kinaray.
Jo Godiyaan Khali Hain Ab Jald Unhein Bhar Do.
Oss Maa Ke Waseelay Se Aoulad Atta Kar Do.
Jholay Se Lipat Kar Jo Kehti Thi Mere Asghar.
Tum Bin Rubab Kaisay Ab Zindagi Guzarey.
Beemar Shifa Paein Ho Jaein Reha Qaidi.
Sajjad Ki Ghurbat Ki Hai Tum Ko Qasam Ghazi.
Aabad Rahe Sar Pe Saya Tere Alam Ka.
Farsh-e-Azza Pe Aa Kar Ro Ro Ke Dil Pukarey.
:ZEESHAN:-o-:RAZA: Kyun Na Faryad Karein Tum Se.
Jab Zarbain Lagin Terah Shabeer Ki Gardan Pe.
Har Zarb Pe Maula Ne Ro Kar Tumhein Pukara.
Manzar Woh Yaad Kar Ke Rotay Hain Gham Ke Marey.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Noha Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2022-23:
Composition: :Zeeshan Abidi:
#ShabbirKeChehreSe
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale
Munajat Shabbir Ke Chehre Se Gham Dur Karne Wale