Jawan Bete Ke Seene Main Sina Syed Raza Abbas Lyrics 2022
Jawan Bete Ke Seene Main Sina Syed Raza Abbas Zaidi
Girey Zameen Pe Maqtal Mein Jab Ali Akbar.
Tarap Ke Khaimay Se Niklay Hussain Thamay Kamar.
Chalon Main Sath Pukari Jo Zainab-e-Muztar.
Behan Ko Dekh Ke Bhai Ne Yeh Kaha Ro Kar.
Jawan Betay Ke Seene Mein Hai Sina Zainab.
Na Dekh Pao Gi Tum Bhi Ho Oss Ki Maa Zainab.
Laeen Ne Seene Mein Jab Se Sina Ko Tora Hai.
Mera Ghareeb Pisar Dard Se Tarapta Hai.
Ragar Raha Hai Woh Maidaan Mein Ayeriyaan Zainab.
Woh Jis Ko Nazoon Se Atharah Saal Pala Hai.
Meri Hi Gaud Mein Woh Lal Marne Wala Hai.
Main Jab Uthaon Ga Woh Lasha-e-Jawaan Zainab.
Woh Tum Ko Dekh Ke Roye Ga Khud Ko Samjhao.
Hain Oss Ki Aakhri Sansein Na Samne Jao.
Bohat Rulaye Gi Akbar Ki Hichkiyaan Zainab.
Meri Taraf Bhi Tu Dekho Main Oss Ka Baba Hoon.
Nazar Bhi Kam Hai Kamar Khum Hai Our Pyasa Hoon.
Giron Ga Rah Mein Jane Kahan Kahan Zainab.
Dua Karo Ke Yeh Mushkil Ka Waqt Tal Jaye.
Sakon Se Mere Betay Ka Dam Nikal Jaye.
Na Sun Sakoon Na Main Akbar Ki Siskiyaan Zainab.
Woh Bar Bar Madine Ki Simt Dekhta Hai.
Sadaein Deta Hai Sughra Ko Our Rota Hai.
Behan Ki Yaad Mein Uljhi Hai Oss Ki Jaan Zainab.
Chaley Hussain Yeh :ZEESHAN: Our :RAZA: Keh Kar.
Sina Ke Sath Kaleja Bhi Aaye Ga Bahir.
Hai Baap Betay Ki Ghurbat Ka Imtehaan Zainab.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Noha Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2022-23:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:
#JawanBeteKeSeeneMainSina
#NohayLyrics
#tajpoint