Sar e Asghar Syed Mudassir Mehdi Lyrics Urdu 2025

Sar e Asghar Syed Mudassir Mehdi Lyrics Urdu 2025

Sar e Asghar Syed Mudassir Mehdi Lyrics

Yeh Manzar Madar-e-Asghar Ko Ummat Ne Dikhaya Hai.
Jo Sar Aagosh Mein Aana Tha Woh Nezay Pe Aaya Hai.

Musalmano Ne Oss Shash Mah Ka Bhi Khoon Bahaya Hai.
Keh Jis Ka Khon Hi Itna Tha, Chullo Mein Bhar Aaya Hai.

Kaha Maa Ne Tumhare Sath Nezay Par Hain Sarwar Bhi.
Na Ghabrana Keh Sar Par Jab Talak Baba Ka Saya Hai.

Tumhari Umar Ke Bachay Tu Khana Bhi Nahi Khatay.
Keh Jitni Umar Mein Tum Ne Galay Par Teer Khaya Hai.

Tumhein Yeh Maa Tu Lori Bhi Suna Payi Na Jee Bhar Ke.
Tumhare Khali Jholay Ko Faqat Noha Sunaya Hai.

Sada Baba Ki Sun Kar Jaisay Foran Se Gaye They Tum.
Bas Ab Waisay Hi Aa Jao Tumhein Maa Ne Bulaya Hai.

Yeh Khaimay Se Nikalte Waqt Hi Asghar Ko Tha Maloom.
Keh Yeh Chadar Nahi :HAIDER: Kafan Maa Ne Urhaya Hai.

Poet: :Syed Haider Rizvi:
Noha Khuwan: :Syed Mudassir Mehdi:
Noha Volum: :Syed Mudassir Mehdi 2025-26:
Composition: :Ustad Akbar Abbas:

#SareAsghar
#NohayLyrics
#tajpoint

Sar e Asghar Syed Mudassir Mehdi Lyrics Urdu 2025 Write Up Poster Image

Sar e Asghar Syed Mudassir Mehdi Lyrics Urdu 2025

Video Link
error: Content is protected !!