Qasim Ibn e Hasan Hoon Mir Hasan Mir Page 1 Lyrics in Urdu
قاسمِؑ ابنِ حسنؑ ہوں Page-1
Jo Hai Waqar Mutlabi Khandan Ka.
Tum Ko Suna Raha Hoon Rajaz Oss Jawan Ka.
1- Qasim Hoon Karwan-e-Shujat Ka Mir Hoon.
Dono Jahan Mein Aap Hi Apni Nazeer Hoon.
Har Khaibari Mahaz Ka Main Qalageer Hoon.
Talwar Ka Dhani Hoon Qalam Ka Ameer Hoon.
Seene Mein Dil Hai Fatah-e-Badar-o-Hunain Ka.
Beta Hasan Ka Hoon Tu Sipahi Hussain Ka.
2- Zahra-o-Mustafa-o-Ali-o-Hasan Hussain.
Sajjad Our Baqir-o-Jafar Dilon Ke Chain.
Kazim Raza Taqi-o-Naqi Haq Ki Zaib-o-Zain.
Our Askari-o-Mehdi-e-Dein Jan-e-Mashreqain.
Awwal Se Taba Sakin-e-Khizra Ka Aaina.
Hum Terhwin Baras Mein Hain Chodah Ka Aaina.
3- Sar Par Hai Khood-e-Nad-e-Ali Fatha Ki Kaleed.
Pehne Hoye Hain Jism Pe Hum Zirrah-e-Al-Hadeed.
Kartay Hain Ran Mein Waqt-e-Waga Hamla-e-Shadeed.
Woh Taig Hain Keh Jis Ka Niwala Hai Har Yazid.
Patka Kamar Mein Hai Shah-e-Aali Sifaat Ka.
Taweez Bazoon Pe Hai Baba Ke Hath Ka.
4- Yaad-e-Shahadat-e-Shuhda Hai Hamarey Sath.
Farzand-e-Fatima Ki Wila Hai Hamarey Sath.
Ik Gham Naseeb Maa Ki Dua Hai Hamarey Sath.
Hum Hain Khuda Ke Sath Khuda Hai Hamarey Sath.
Haq Ke Khilaf Kufar Ki Zoor Aazmai Hai.
Hum Se Lara Jo Oss Ki Khuda Se Larai Hai.
5- Yakja Yahan Pe Kis Ke Saharey Hoye Ho Tum.
Kya Soch Kar Wiga Ke Shararey Hoye Ho Tum.
Bazm-e-Hudaibiya Mein Bhi Harey Hoye Ho Tum.
Baba Hasan Ki Sulha Ke Marey Hoye Ho Tum.
Mosa Hain Sahiron Ke Tamashon Se Kya Larein.
Hum Malik-e-Hayat Hain Lashon Se Kya Larein.
6- Anjam-e-Karzar Pe Koi Nazar Bhi Hai.
Kya Sham Ke Risalon Mein Harf-e-Sahar Bhi Hai.
Seene Akar Ke Taan Rahe Ho Jigar Bhi Hai.
Larney Tu Aa Gaye Ho Tumhein Kuch Khabar Bhi Hai.
Iss Rukh Se Bhi Shikast-e-Sitam Aashkar Hai.
Oss Jang Mein Qalam Tha Yahan Zulfiqar Hai.
7- Kufar-o-Nifaq-o-Shirk Ke Paidaishi Ghulam.
Bad Shakal-o-Bad Naseeb-o-Bad Adwar-o-Kaj Khiram.
Bad Nasal-o-Bad Tamasho Bad Anjam-o-Bad Kalam.
Soraj Se Larney Aaye Hain Shab Zadgan-e-Sham.
Gham Ko Khushi Samajh Ke Uchalna Tu Dekhiye.
Chamgadiron Ka Din Mein Nikalna Tu Dekhiye.
8- Jagay Ho Shab Ko Dar Se Keh Soye Ho Shamiyon.
Aankhein Tu Keh Rahi Hain Keh Roye Ho Shamiyon.
Buzdil Safon Ko Saf Mein Paroye Ho Shamiyon.
Ab Tak Ghuma Ke Dasht Mein Khoye Ho Shamiyon.
Kya Bhool Ho Gayi Hai Yeh Samjho Gay Dair Se.
Jangal Mein Larney Aaye Ho Our Woh Bhi Shair Se.
9- Foaj-e-Kaseer Dekh Ke Itra Rahe Ho Tum.
Hinda Ki Le Mein Badar-o-Ohad Ga Rahe Ho Tum.
Bugz-e-Abu Turab Mein Bal Kha Rahe Ho Tum.
Khamosh Hain Tu Munh Pe Charhey Aa Rahe Ho Tum.
Tukron Mein Bant Dein Gay Labon Ki Kaman Ko.
Guddi Se Khainch Lein Gay Tumhari Zaban Ko.
Poet: :Bilal Kazmi:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2021-22:
Composition: :Akbar Abbas:
#QasimIbneHasanHoon
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com