Wo Imam Ibne Imam Hum Ghulam Ibne Ghulam Syed Raza Abbas Zaidi Lyrics Urdu 2026
Wo Imam Ibne Imam Hum Ghulam Ibne Ghulam Syed Raza Abbas Zaidi.
Woh Imam Ibn-e-Imam Ibn-e-Imam.
Hum Ghulam Ibn-e-Ghulam Ibn-e-Ghulam.
Sawal: Baba Imam-e-Zamana Kaun Hain Our Unn Ka Naam Kya Hai?
Jawab
Aye Marey Lakht-e-Jigar! Woh Barhwein Sarkar Hain.
Waris-e-Quran-o-Kaba Adal Ka Maiyar Hain.
Aakhri Hain Woh Imam Our Unn Ke Hum Hub Daar Hain.
Rab Ki Woh Hujjat Hain Our Mehdi Hai Naam.
Woh Imam Ibn-e-Imam Ibn-e-Imam.
Sawal: Acha Baba Yeh Bataein Imam-e-Zamana Kahan Hain?
Jawab
Gaib Ke Parday Mein Hain Lekin Nahi Hain Hum Se Door.
Hukam Jab ALLAH Ka Hoga Tu Aaein Gay Zaror.
Bas Dua Kartay Raho Ho Jaye Maula Ka Zahoor.
Rah Unn Ki Dekhtey Hain Subha-o-Sham.
Woh Imam Ibn-e-Imam Ibn-e-Imam.
Sawal: Acha Baba Mujhe Yeh Bataein Imam Ghaibat Se Aa Kar Kya Karein Gay?
Jawab
Laein Gay Tashreef Woh Jis Din Miley Ga Izn-e-Rab.
Haq Ka Hoga Tab Zahoor Our Dafan Batil Hoga Tab.
Woh Alam Abbas Ka Kabay Pe Lehraein Gay Jab.
Zalimo Ka Bhi Karein Gay Ahtatam.
Woh Imam Ibn-e-Imam Ibn-e-Imam.
Sawal: Baba Kya Hum Bhi Imam-e-Zamana Ko Bola Saktay Hain?
Jawab
Muntazir Hain Woh Hum Unn Ka Kar Rahe Hain Intezar.
Muntazir Dil Ko Woh Aaein Gay Tu Aaye Ga Qarrar.
Al-Ajal Kehte Raho Mango Duaein Bar Bar.
Ho Zahoor Our Dekhein Qayam Ka Nizam.
Woh Imam Ibn-e-Imam Ibn-e-Imam.
Sawal: Baba Imam Ghaibat Mein Kya Kar Rahe Hain Our Jab Woh Aaein Gay Tu Kya Karein Gay?
Jawab
Gaib Mein Woh Nahiya Parhtay Hoye Kartay Hain Bain.
Roza-e-Zahra Bana Kar Unn Ka Dil Paye Ga Chain.
Woh Bapa Phir Se Karein Gay Karbala Ban Kar Hussain.
Khon-e-Asghar Ka Bhi Lein Gay Inteqam.
Woh Imam Ibn-e-Imam Ibn-e-Imam.
Sawal: Baba Imam-e-Zamana Hum Se Kaisay Khush Hoon Gay?
Jawab
Lal Mere Unn Ke Dam Se Deen Ki Tanveer Hai.
Unn Ke Sadqay Hi :RAZA: Ke Nutq Mein :TASEER: Hai.
Har Arezay Mein :SAHAAB: Apne Yehi Tehreer Hai.
Bhaijtay Hain Aap Ko Maula Salam.
Woh Imam Ibn-e-Imam Ibn-e-Imam.
Poet: :Arif Sahaab:
Manqabat: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Raza Abbas Zaidi 2025-26:
Composition: :Nayyar Abbas (Skardu):
#WoImamIbneImam
#ManqabatLyrics
#tajpoint
