Athara Baras In Hathon Se Palaa Hai Raza Abbas 2021
Athara Baras In Hathon Se Palaa Hai Syed Raza Abbas Zaidi
Marne Ki Ijazat Jab Mangi Akbar Ne Tu Yeh Sarwar Ne Kaha.
Zainab Se Ijazat Lo Beta Tum Par Hai Zyada Haq Oss Ka.
Khaimay Mein Phophi Amma Ke Jab Atharah Baras Wala Pohancha.
Mangi Jo Ijazat Akbar Ne Zainab Ne Pukara Aye Beta.
Atharah Baras Tum Ko Inn Hathoon Se Pala Hai.
Main Kaisay Kahon Akbar Marne Ke Liye Jao.
Akbar Tujhey Dekhon Tu Chalti Hain Meri Sansein.
Kis Tarha Tujhey Zakhmi Dekhein Gi Meri Aankhein.
Mere Gulbadan Mere Nojawaan.
Kalejay Mein Jab Lagay Gi Sina.
Meri Jan Tum Na Seh Pao Gay.
Tumhein Kis Tarha Sanbhalay Gi Maa.
Maloom Hai Zainab Ko Nazuk Tera Seena Hai.
Ik Bar Zara Apne Baba Ki Taraf Dekho.
Kis Tarha Uthaein Gay Woh Tere Janazay Ko.
Ajab Haal Hai Kamar Mein Hai Khum.
Hai Abbas Ki Judai Ka Gham.
Ghareeb Al-Watan Bohat Thak Chuka.
Zaeefi Bhi Hai Nazar Bhi Hai Kam.
Aye Lal Mera Bhai Seh Roz Ka Pyasa Hai.
Main Palney Wali Hoon Itna Tu Mera Haq Hai.
Socha Tha Ke Ik Din Main Jab Jaon Gi Dunya Se.
Lehad Mein Mujhe Utaray Ga Tu.
Yeh Arman Hai Yehi Aarzu.
Rahe Tu Sada Mere Samne.
Rukay Sans Bhi Tere Robaro.
Aye Lal Abhi Mera Arman Adhora Hai.
Jab Pehle Pehal Tujh Ko Hathoon Pe Uthaya Tha.
Yeh Kehte Hoye Main Ne Seene Se Lagaya Tha.
Meri Zindagi Mere Ladlay.
Kissi Ki Tujhey Nazar Na Lagay.
Tujhey Dekhney Ko Be Chain Thi.
Sakoon Mil Gaya Tujhey Dekh Ke.
Tu Aankhon Ka Tara Hai Tu Raaj Dulara Hai.
Sughra Se Kiya Wadah Kya Yaad Nahi Akbar.
Beemar Madine Mein Mar Jaye Na Ro Ro Kar.
Ossay Aas Hai Ke Aao Gay Tum.
Jo Wadah Kiya Nibhao Gay Tum.
Sakina Se Woh Bohat Door Hai.
Behan Se Ossay Milao Gay Tum.
Beta Tumhein Sughra Se Woh Wadah Nibhana Hai.
Akbar Teri Shadi Ka Armaan Hai Bohat Hum Ko.
Hum Seh Nahi Paein Gay Aye Lal Tere Gham Ko.
Jabeen Par Teri Jo Sehra Bandhay.
Tamana Hai Woh Phophi Dekh Le.
Dulhan Ko Teri Sajaon Gi Main.
Aye Mere Haseen Jawaan Ladlay.
Zainab Ne Abhi Tujh Ko Dulha Bhi Banana Hai.
Yeh Kehne Lagay Akbar Zainab Ki Sada Sun Ke.
Afzal Tu Nahi Amma Main Dilbar-e-Zahra Se.
Akelay Hain Woh Nahi Hai Koi.
Musibat Mein Hai Zarorat Meri.
Nazar Kis Tarha Milaon Ga Main.
Agar Aap Ne Ijazat Na Di.
Kyun Aap Ke Honton Pe Iss Waqt Yeh Noha Hai.
Akbar Ki Sada Sun Kar Zainab Ne Ijazat Di.
Rukhsat Jo Hoye Akbar Kaisi Woh Qayamat Thi.
Duaein Khuda Se Karti Thi Woh.
Mere Lal Ki Khuda Khair Ho.
Kaha Ya Ali Madad Kijiye.
Main Rukhsat Karon Jawaan Lal Ko.
:ZEESHAN:-o-:RAZA: Phir Na Zainab Ne Pukara Hai.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Noha Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2021-22:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:
#AtharaBaras
#NohayLyrics
#tajpoint
Syed Raza Abbas Zaidi Athara Baras In Hathon Se Palaa Hai
Syed Raza Abbas Athara Baras In Hathon Se Palaa Hai
New Noha Shehzada Ali Akbar Athara Baras In Hathon Se Palaa Hai