Aisa Duniya Mein Koi Banda e Rehman Nahi Lyrics 2013
Aisa Duniya Mein Koi Banda e Rehman Nahi.
Jis Pe Sultan-e-Khurasan Ka Ahsan Nahi.
Iss Tarha Teri Kareemi Pe Yaqeen Hai Mujh Ko.
Jaisay Tauheed Mein Shak Ka Koi Imkan Nahi.
Waan Gayi Fikar Meri Madh-e-Raza Ki Khatir.
Jahan Jibreel Ke Jane Ka Bhi Imkan Nahi.
Sheikh Jee Madh-e-Raza Sun Ke Yeh Hairat Kaisi.
Kiya Kabhi Tum Ne Suni Sorah-e-Rehman Nahi.
Tere Darbar Mein Bajti Hoi Nobat Ki Qasam.
Kam Azano Se Teri Jeet Ka Ayelan Nahi.
Har Ghari Lab Pe Mere Nam-e-Ali Rehta Hai.
Kaun Kehta Hai Keh Main Hafiz-e-Quran Nahi.
Mil Ga Jab Teri Khudami Ka Tamga Iss Ko.
Ab Tere :MIR HASAN: Ko Koi Arman Nahi.
Poet: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2013-14:
#ImamRaza
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Aisa Duniya Mein Koi Banda e Rehman Nahi Lyrics 2013 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
