Aye Alamdar-e-Hussain Lyrics In Urdu and Roman Urdu
اے علمدارِ حسین ؑ
Asar-e-Ashor Kiye Zainab-o-Kulsoom Ne Bain.
Jeetay Jee Mar Gayi Teri Shahadat Ki Khabar.
Be Rida Ho Gaye Hum Kat Gaya Shabeer Ka Sar.
Naam Le Kar Tera Kartay Hain Haram Shewan-o-Shain.
Ashqiya Jab Kabhi Khaimon Ki Taraf Dekhtey Hain.
Hum Bulatay Hain Tumhein Soye Najaf Dekhtey Hain.
Ghazi Aa Jao Kahan Ho Humein Milta Nahi Chain.
Mere Abbas Tere Baad Qayamat Guzari.
Jis Ghari Gardan-e-Shabeer Pe Chalti Thi Chori.
Tum Ko Oss Waqt Bhi Detey They Sada Bhai Hussain.
Chaar Janib Hain Sitamgar Uthaye Nashtar.
Kis Tarha Aaye Behan Bhai Tere Lashay Par.
Fasila Kafi Hai Khaimon Se Nehar Ke Ma Bain.
Jab Teri Bali Sakina Ne Yeh Manzar Dekha.
Tujh Ko Girtay Hoye Hathoon Ka Sahara Na Mila.
Gar Gayi Khak Pe Sar Peet Ke Karti Rahi Bain.
Tujh Pe Behnein Teri Qurban Hoon Shair-e-Haider.
Haye Abbas Tujhe Lag Gayi Dunya Ki Nazar.
Aye Wafadar Aye Ghayoor Ameer-e-Konain.
Chodah Sadiyaan Hoin Lekin Tera Gham Taza Hai.
:YASIR-E-: Ahl-e-Azza Hum Ne Yehi Dekha Hai.
Aaj Bhi Hota Hai Noha Sar-e-Bain Al-Harmain.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Noha Khuwan: :Yasir Raza Yasir:
Noha Volume: :Yasir Raza Yasir 2020-21:
Composition: :Yasir Raza Yasir:
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com