Suno Bad-e-Zahoor Kya Ho Ga 5-10 Lyrics In Urdu and Roman Urdu
سُنو بعدِ ظہور کیا ہوگا بند 5تا10
Manadi Ho Gi Ke Adal-e-Khuda Mubarak Ho.
Jadar-e-Kahana-e-Haq Murtaza Mubarak Ho.
Madine Walo Niya Mustafa Mubarak Ho.
Mera Zahoor Aye Khair-ul-Nisa Mubarak Ho.
Tha Dil Pe Karb-o-Bala Ka Jo Bhaar Khatam Howa.
Aye Meri Dadi Tera Intezar Khatam Howa.
Hai Zaat-e-Haq Jo Pas-e-Mojzaat Meri Hai.
Shareek-e-Kar-e-Nabowat Bhi Zaat Meri Hai.
Har Ik Imam Ki Har Aik Baat Meri Hai.
Faqat Fidak Hi Nahi Kainat Meri Hai.
Har Aik Shehar Yeh Tehreer Likhta Jaon Ga.
Yeh Sab Hai Zahra Ki Jageer Likhta Jaon Ga.
Uthay Ga Shoor Saf-e-Karzar Se Bhago.
Baras Rahi Hai Ajal Zulfiqar Se Bhago.
Koi Kahe Ga Nabi Ke Deyar Se Bhago.
Koi Kahe Ga Nikal Kar Mazar Se Bhago.
Ab Aaye Zulm-o-Tashadud Ko Pharne Wala.
Phir Aa Gaya Dar-e-Khaibar Ukharne Wala.
Ali Taig Hai Phir Be-Niyam Bhag Chalo.
Jaga Haram Mein Nahi Soye Sham Bhag Chalo.
Ajal Ko Yad Hai Hum Sab Ke Naam Bhag Chalo.
Ke Bhagna Hi Tu Hai Apna Kam Bhag Chalo.
Amma Nahi Hai Kahin Karzar-e-Hasti Mein.
Kachar Choor Ke Shair Aa Gaya Hai Basti Mein.
Sunai De Ga Yeh Aylan Taig-e-Haider Ka.
Hisab Loon Gi Yameen-o-Yasaar Se Shar Ka.
Woh Sar Gaya Jo Zara Sa Idhar Udhar Sarka.
Malak Bhi Jan Le Khud Zimedar Hai Par Ka.
Na Jibreel-e-Ameen Ko Bhi Kuch Riayat Hai.
Zameen Pe Maut Ko Rukne Ki Bas Ijazat Hai.
Bhari Hai Aag Mere Dil Mein Be-Qarar Hoon Main.
Na Jane Kitne Shaheedon Ki Sogawar Hoon Main.
Na Jane Kitne Yateemo Ki Qarazdar Hoon Main.
Kahe Ga Kon Ke Haider Ki Zulfiqar Hoon Main.
Ali Ke Lal Tere Naam Ki Dohai Hai.
Na Aaj Rook Mujhe Aakhri Larai Hai.
Poet: :Payam Azmi:
Azafi Ashar: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2019-20:
Composition: :Raza Shah:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
Visit TAJPOINT :: Official Website :