Zahra Qabool Kijiye Pursa Hussain Ka Mir Hasan Lyrics 2018

Zahra Qabool Kijiye Pursa Hussain Ka Mir Hasan Lyrics 2018

Zahra Qabool Kijiye Pursa Hussain Ka Mir Hasan Mir.

Pyase Ka Be-Watan Ka Sheh-e-Mashreqain Ka.

Jab Maah-e-Muharram Ne Khabar Gham Ki Suna Di.
Rukh Kar Ke Baqaiya Ka Yeh Momin Ne Sada Di.
Tashreef Laein Farsh-e-Azza Sheh Ka Bich Gaya.

Mazloom Ke Gham Mein Hoi Magmoom Khudai.
Phir Naam Pe Pyason Ke Sabeelein Hain Lagai.
Ghar Ghar Mein Hussain Ki Ghurbat Ka Tazkira.

Har Moor Pe Dharas Jo Raha Bint-e-Ali Ki.
Woh Jis Ki Shahadat Pe Kamar Sheh Ki Jhuki Thi.
Oss Shair Ke Katay Howay Shano Ka Wasta.

Aayi Jo Madine Mein Woh Zindaan Se Palat Kar.
Ghar Jane Se Pehle Gayi Madar Ki Lahad Par.
Zainab Ne Maa Ki Qabar Pe Di Pehli Yeh Sada.

Ghazi Ko Issi Maa Ne Sikhaein Thi Wafaein.
Beton Ke Liye Bharti Bhala Kaise Woh Aahein.
Noha Tha Yeh Baqaiya Mein Ummul Baneen Ka.

Pardais Mein Ummat Ne Jisay Zakhm Diye Hain.
Ik Din Mein Jise Dagh Bahatar 72 Ke Mile Hain.
Oss Par Salam Jis Ka Bhara Ghar Ujar Gaya.

Jeene Na Diya Oss Ko Musalmano Ne Bibi.
Pala Tha Jise Aap Ne Armano Se Bibi.
Haye Rula Rula Ke Osse Zibah Kar Diya.

Mazloom Ki Gardan Pe Woh Chalta Howa Khanjar.
Khoon Unn Ko Rulata Hai :TAKALLUM: Yehi Manzar.
Dadi Ki Ujari Qabar Pe Mehdi Ka Hai Noha.

Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2018-19:

#ZahraQaboolKijiyePursaHussainKa
#NohayLyrics
#tajpoint

Zahra Qabool Kijiye Pursa Hussain Ka Mir Hasan Lyrics 2018 Write Up Poster Image

Zahra Qabool Kijiye Pursa Hussain Ka Mir Hasan Lyrics 2018

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!