Muhammad Ki Beti Ko Maar Diya Syed Raza Abbas Zaidi.
Kissi Ghar Mein Jab Koi Marta Hai.
Janazay Ka Ayelan Hota Hai.
Magar Yeh Woh Mazloom Zahra Hai.
Jo Keh Ke Gayi Mujh Ko Tareeki Mein Dafnana.
Haider Meri Maiyyat Pe Unn Ko Nahi Bulwana.
Haye Jinhoon Ne Mera Pehlu Zakhmi Kiya.
Bohat Mara Logon Ne Ghar Aa Kar.
Shikasta Howa Bazu Zakhmi Sar.
Gira Jalta Darwaza Pehlu Par.
Jab Loag Chaley Dar Par Be Hosh Hoin Zahra.
Iss Tarha Thin Band Aankhein Jaisay Ho Koi Lasha.
Haye Utha Dar Tu Fizza Ko Aisa Laga.
Tamacha Koi Maa Nahi Khaye.
Duaein Woh Karti Rahi Haye.
Elahi Mujhe Maut Aa Jaye.
Chehray Ke Nishano Par Kab Tak Main Rakhon Chadar.
Tha Sath Mera Beta Jab Hath Utha Mujh Par.
Haye Tamachay Ke Gham Ne Jeene Na Diya.
Ali Ke Galay Mein Jo Rasi Thi.
Muhammad Ki Beti Ne Jab Dekhi.
Chali Pichey Pichey Woh Roti Hoi.
Ik Hath Tha Pehlu Par Ik Hath Howa Neela.
Rasi Se Ali Ko Jab Churwane Lagin Zahra.
Haye Sitamgar Ne Ik Taziyana Liya.
Laga Zakhm Pehlu Pe Jab Gehra.
Howa Surkh Takleef Se Chehra.
Jawani Mein Hi Mar Gayin Zahra.
Haider Ne Janazay Ko Jab Ghusal Diya Aa Ke.
Sab Pasliyaan Tooti Thin Kehne Lagay Chilla Ke.
Haye Sitamgaron Itna Zakhmi Kiya.
Ali Karne Tadfeen Jab Pohanchay.
Yeh Keh Ke Lehad Se Do Hath Uthay.
Ali Sonp Do Meri Beti Mujhe.
Yeh Sun Ke Ali Bolay Zakhmi Hai Bohat Chehra.
Jaisi Mujhe Sonpi Thi Ab Wesi Nahi Zahra.
Haye Mere Samne Ya Rasool ALLAH.
Abhi Bachay Chotay They Zahra Ke.
Ali Aaye Zahra Ko Dafna Ke.
Bohat Roye Bachoon Ko Lipta Ke.
Yeh Dekh Ke Asma Ne Fizza Se Kaha Ro Kar.
Ab Kaisay Jeein Gay Yeh Amma Se Juda Ho Kar.
Haye Yateem Aisay Bachoon Ko Kis Ne Kiya.
:RAZA: Our :ZEESHAN: Woh Zahra.
Zyada Nahi Reh Saki Zindah.
Nahi Seh Saki Dard Pehlu Ka.
Takleef Ki Shiddat Se Jab Mar Gayin Zahra Tu.
Yeh Suntay Hi Khush Ho Ke Ik Sham Ke Zalim Ko.
Haye Madine Ke Zalim Ne Khat Mein Likha.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Noha Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2026-27:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:
#MuhammadKiBeti
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha 2026 Muhammad Ki Beti Ko Maar Diya Syed Raza Abbas Zaidi Lyrics
Bibi Fatima Noha Lyrics Muhammad Ki Beti Ko Maar Diya Syed Raza Abbas Zaidi
2026 Noha Muhammad Ki Beti Ko Maar Diya Syed Raza Abbas Zaidi Lyrics
Muhammad Ki Beti Ko Maar Diya Syed Raza Abbas Zaidi Lyrics In Urdu 2026 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
