Rukhsat Hui Hain Zehra Mukhtar Hussain Fatehpuri.
Sar Peetti Hain Fizza Rukhsat Hoi Hain Zahra.
Aaya Hai Waqt Kaisa Rukhsat Hoi Hain Zahra.
Ummat Ne Zulm Dhaya Darwaza Hai Jalaya.
Bibi Thin Pichey Dar Ke Jalta Woh Dar Giraya.
Pehlu Pe Dar Gira Tha Rukhsat Hoi Hain Zahra.
Pehlu Pe Hath Rakhay Zahra Ne Sar Uthaya.
Oss Dam Tamacha Rukh Par Maloon Ne Lagaya.
Dil Mein Liye Woh Sadma Rukhsat Hoi Hain Zahra.
Dar Ka Dabao Tan Par Mekhein Jigar Pe Bhari.
Mohsin Bhi Mar Gaya Tha Karti Thin Aah-o-Zaari.
Pehlu Liye Shikasta Rukhsat Hoi Hain Zahra.
Sansein Bhi Lena Mushkil Bibi Ka Ho Gaya Tha.
Dewar Ke Saharey Uthna Tha Baithna Tha.
Mushkil Tha Chalna Phirna Rukhsat Hoi Hain Zahra.
Kagaz Fidak Ka Chena Darbar Mein Tha Phara.
Tehreer Ko Nabi Ki Pairon Se Rond Dala.
Zalim Ne Zulm Dhaya Rukhsat Hoi Hain Zahra.
Veeran Bait-e-Gham Mein Ashkon Ka Ghar Basana.
Qabar-e-Rasool Par Woh Darbar Ka Batana.
Ummat Ne Di Hai Aiza Rukhsat Hoi Hain Zahra.
Tooti Woh Pasliyon Mein Bibi Ka Jeena :SAAIB:.
Pehlu Ka Dard Seh Kar Gash Mein Woh Girna :SAAIB:.
Din Raat Kar Ke Noha Rukhsat Hoi Hain Zahra.
Poet: :Saaib Zaidi:
Noha Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Noha Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2026-27:
Composition: :Ustad Akbar Abbas:
#RukhsatHuiHainZehra
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha 2026 Rukhsat Hui Hain Zehra Mukhtar Hussain Fatehpuri Lyrics
Rukhsat Hui Hain Zehra Mukhtar Hussain Fatehpuri Lyrics In Urdu 2026 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
