Haider Ka Janaza Haider Ka Janaza Lyrics In Urdu and Roman Urdu
حیدرؑ کا جنازہ حیدرؑ کا جنازہ
Kuhram Sa Bapa Tha Jis Waqt Ghar Se Nikla.
Kofe Mein Ik Qayamat Janat Mein Shoor-e-Matam.
Zahra Ki Betiyon Ne Paya Hai Baap Ka Gham.
Masjid Mein Sab Namazi Dene Lagay Dohai Beton Ne Jab Uthaya.
Unees Ki Sahar Thi Zakhmi Howay Jo Haider.
Rone Lagay The Gham Se Mehrab Our Mimbar.
Shabir Our Shabar Aaye Pidar Ko Le Kar Bas Aisa Lag Raha Tha.
Jarrah Ne Jo Dekhi Zakhmi Jabeen-e-Haider.
Phainka Amama Sar Se Kehne Laga Yeh Ro Kar.
Kiya Zehar Ka Asar Hai Haider Ka Ab Safar Hai Kuch Rooz Mein Uthay Ga.
Baba Ke Paas Aa Kar Zainab Pukarein Ro Kar.
Main Aap Ki Judai Kaise Sahoon Gi Dil Par.
Haider Ka Tha Yeh Noha Beti Na Aise Rona Iss Ghar Se Ab Uthay Ga.
Ramzaan Ki Beeswein Thi Sab Ne Kiye The Nalay.
Karne Lagay Wasiyat Khaibar Uthane Walay.
Ro Kar Hasan Se Bolay Ghar Hai Tere Hawalay Tum Hi Uthana Beta.
Noha :LAEEK: Kaisa Hai :MAZHAR ABIDI: Ka.
Har Lafz Mein Hai Giriya Khanjar Sa Dil Mein Utra.
Yeh Dastan Gham Ki Zainab Ki Hai Yateemi Kaise Parhoon Yeh Noha.
Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwan: :Laeeq Raza:
21 Ramzan Shahdat Hazrat Ali Noha.
#HaiderKaJanaza
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com