Baali Sakina Ki Kahani Meesum Kashmiri Lyrics In Urdu 2023
سُنو بالی سکینہؑ کی کہانی
Suno Bali Sakina Ki Kahani.
Sheh-e-Dein Ki Yateema Ki Kahani.
Hussain Ibn-e-Ali Ki Ladli Thi.
Sakoon-e-Qalb-e-Sarwar Thi Woh Bachi.
Namaz-e-Shab Mein Jis Ko Mangtay They.
Jisay Shabeer Be Had Chahtey They.
Juda Hotey Na They Beti Se Maula.
Tha Masooma Ka Bistar Sheh Ka Seena.
Bin-e-Zahra Pe Thi Rab Ki Inayat.
Bara-e-Shah-e-Wala Thi Woh Rehmat.
Wohi Thi Bais e Taskeen-e-Baba.
Woh Jis Ka Naam Tha Bali Sakina.
Azadaro! Howa Ik Din Phir Aisa.
Para Shabeer Ko Yasrab Se Jana.
Pata Thi Shah-e-Deein Ko Yeh Haqeeqat.
Sar-e-Karb-o-Bala Hogi Shahadat.
Bina Beti Ke Jee Saktay Na They Woh.
Safar Mein Sath Oss Ko Le Gaye Woh.
Kabhi Woh Dhop Mein Karti Thi Saya.
Kabhi Baba Ka Woh Leti Thi Bosa.
Pilaya Karti Thi Baba Ko Pani.
Sakina Thi Bohat Baba Ko Pyari.
Sar-e-Karb-o-Bala Thi Woh Musibat.
Tha Pani Band Our Garmi Ki Shiddat.
Fogaan Thi Chotay Bachoon Ki Fiza Mein.
Sada-e-Al-Atash Thi Karbala Mein.
Yeh Kehte They Ossay Bachay Haram Ke.
Humein Pani Dila Dijay Chacha Se.
Magar Tha Jaan Bulb Shashmaha Asghar.
Ossay Gham Tha Na Mar Jaye Baradar.
Kayi Din Se Na Jo Pani Mila Tha.
Bohat Pyasi Thi Masoma Sakina.
Maiyan-e-Karbala Phir Oss Ne Dekhey.
Chacha Our Bhaiyon Ke Bikhrey Lashay.
Ossi Ik Din Mein Oss Ke Baba Jaan Ne.
Bahatar Lashay Maqtal Mein Uthaye.
They Ban Mein Reh Gaye Tanha Jo Maula.
Kiya Nu Lakh Ne Maula Pe Hamla.
Kiye Jati Thi Ummat Sheh Ko Zakhmi.
Padar Se Door Jati Thi Na Bachi.
Shaqi Ne Sheh Pe Phir Khanjar Chalaya.
Sar-e-Shabeer Naizay Par Charhaya.
Alam Sham-e-Ghareebaan Ke Siwa They.
Jalay Sadaat Ke Khaimay Sitam Se.
Luti Sab Bibiyon Ke Sar Se Chadar.
Chiney Kano Se Masooma Ke Gohar.
Bohat Khaye Sakina Ne Tamachay.
Sahey Oss Ne Musalsal Taziyane.
Sada Deti Thi Ammo Jaan Kahan Ho.
Chacha Ghazi! Mujhe Aa Kar Bachao.
Bohat Zakhmi Thi Sheh Ki Shahzadi.
Lahu Tha Oss Ke Rukhsaron Se Jari.
Sitam Seh Seh Ke Bachi Thak Chuki Thi.
Sakina Ko Bohat Neend Aa Gayi Thi.
Magar Kaisay, Kahan Soti Sakina.
Ossay Tha Chahiye Baba Ka Seena.
Sar-e-Maqtal Woh Lashon Se Guzar Kar.
Jo Nikli Dhondne Baba Ko Muztar.
Boka Karti Thi Baba Jaan Kahan Ho.
Mujhe Ik Bar Seene Se Laga Lo.
Sada Aayi Yeh Lashay Se Elayya.
Sakina Jan Elayya Ya Bonayya.
Chaley Jab Sham Ki Janib They Qaidi.
Rasan Basta, Aseera Thi Woh Bachi.
Tamachay Marta Tha Jab Sitamgar.
Woh Gir Jati Thi Munh Ke Bal Zameen Par.
Laeen Ka Hath Kuch Aisa Tha Bhari.
Tamachon Se Tha Khoon Bachi Ka Jari.
Tarap Kar Barha Yaad-e-Padar Mein.
Giri Woh Pusht-e-Naqa Se Safar Mein.
Kahin Oss Ko Muyassar Tha Na Pani.
Sakina Sham Tak Aayi Hai Pyasi.
Hoi Phir Qaid Zindan-e-Sitam Mein.
:IRAM:, :MEESUM: Thi Woh Baba Ke Gham Mein.
Mila Ik Roz Oss Ko Sar Padar Ka.
Sunaya Har Alam Baba Ko Apna.
Kaha: Baba Mujhe Marey Tamachay.
Mere Gohar Tere Qatil Ne Cheeney.
Teri Beti Bohat Zakhmi Hai Baba!
Sakina Aaj Bhi Pyasi Hai Baba!
Sar-e-Baba Ko Seene Se Lagaye.
Sakina Chal Basi Zindaan Mein Haye.
Poetess: :Shumaila Iram:
Noha Khowan: :Meesum Kashmiri:
Noha Volume: :Meesum Kashmiri 2023-24:
Composition: :Meesum Kashmiri:
#BaaliSakinaKiKahani
#NohayLyrics
#tajpoint