Jang-e-Khybar 9-13 Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir 2013
Jang-e-Khybar 9-13
Hujjat Mareez-e-Maut Pe Hujjat Ne Ki Tamam.
Ik Fikre Ne Samait Liye Maqsad-e-Kalam.
Haider Hamari Maa Ne Rakha Hai Hamara Naam.
Hoshiyar Zulfiqar Hoi Meri Be-Niyam.
Shamsheer Buturab Ki San Se Pohanch Gayi.
Marhab Ke Sar Pe Maut Se Pehle Pohanch Gayi.
Sar Se Chali Tu Seene Pe Aa Kar Thehar Gayi.
Seene Pe Sans Le Ke Jigar Mein Utar Gayi.
Nikali Jigar Ko Kaat Ke Taba Kamar Gayi.
Thi Maut Peeche Peeche Yeh Bijli Jidhar Gayi.
Kat Kar Adoy-e-Deen-e-Khuda Khak Par Gira.
Aadah Idhar Zameen Pe Aadah Udhar Gira.
Jata Hai Kis Shekoh Se Allah Ka Asad.
Khybar Ka Dar Ukharne Tanha Basad-o-Mad.
Pohancha Qareeb-e-Dar Jonhi Woh Bandah-e-Ahad.
Be-Sakhta Ali Ne Kaha Ya Ali Madad.
Aise Ukhara Lamhe Mein Khybar Ke Baab Ko.
Jis Tarha Shakh Se Koi Tore Ghulab Ko.
Taqseem Sab Mein Maal-e-Ghanimat Kiya Giya.
Haider Ko Hissa Sab Se Zyda Diya Giya.
Iss Amar Par Sawal Nabi Se Kiya Giya.
Kyun Adal Se Na Kaam Yahan Par Liya Giya.
Bole Rasool Dakhal Kya Tujh Jaise Fard Ko.
Dete Hain Hissa Dognah Shariyat Mein Mard Ko.
Allah Re Sakhawat-e-Mushkil Khush Ali.
Aisa Kahan Hai :MIR TAKALLUM: Koi Sakhi.
Dolat Banam-e-Maal-e-Ghanimat Jo Thi Mili.
Khairat Kar Di Rah-e-Khuda Mein Hansi Khushi.
Dehleez-e-Dar Pe Pohanche Tu Salman Sath The.
Lab Par Khuda Ka Shukar Tha Our Khali Hath The.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2013-14:
#JangeKhybar
#ManqabatLyrics
#tajpoint