Mola Ali Ki Jinnat Se Jang Birul Alam Mesum Abbas Lyrics In Urdu
مولاؑ علیؑ کی جنات سے جنگ بیر العَلم
Sunney Walo Samaat Ka Kya Faida.
Jang-e-Bir ul Alam Ka Suno Waqiya.
Paltay Jang-e-Sakasak Se Jab Mustafa.
Aik Maidaan Mein Aa Kar Ruka Qafila.
Aisi Wehshat Barasti Thi Charon Taraf.
Koi Makhlooq Thi Our Na Aab-o-Giza.
Ik Sahabi Ne Aaqa Ko Di Yeh Khabar.
Ik Kunwaan Tu Yahan Aa Raha Hai Nazar.
Bolay Aaqa Ke Le Aao Pani Zara.
Tab Yeh Haris Ne Ghabra Ke Unn Se Kaha.
Iss Kunwein Par Tu Qabza Hai Jinnat Ka.
Aag-o-Mati Mein Kaisa Taqabul Bhala.
Aath Ashab Pani Jo Lainay Gaye.
Sab Ke Sab Kar Diye Qatal Jinnat Ne.
Sun Ke Ashab Ki Baat Shah-e-Ummam.
Bolay Haider Se Ja Le Ke Taig-e-Do Dam.
Dono Aalam Mein Hai Tera Jah-o-Hasham.
Cheen Jinnat Se Ja Ke Beer Al-Alam.
Niklay Khaimay Se Jaisay Hi Shair-e-Khuda.
Dasht-e-Wehshat Mein Ik Shoor Uthnay Laga.
Haider Haider Haider Haider.
Jinnat Se Jang Hai Yeh Beer Al-Alam Hai.
Khaimay Se Abu Talib Ka Pisar.
Maidaan Ki Taraf Karta Hai Safar.
Koi Bhi Nahi Hai Khof-o-Khatar.
Ho Samne Chahe Jin Ya Bashar.
Badlay They Haider Ke Tewar.
Barhta Ho Jaisay Shair Babar.
Din Raat Ke Andar Dhalta Hai.
Tofan Ajab Sa Uthta Hai.
Qadmo Ki Dhamak Mehsos Hoi.
Afreet Pukara Kaun Aaya.
Yeh Kis Mein Hoi Jurat Itni.
Afreet Pukara Kaun Aaya.
Kya Tum Ko Samajh Mein Aata Nahi.
Jo Aaya Palat Ke Jata Nahi.
Kya Tu Aasan Samjhta Hai.
Hum Ko Insan Samjhta Hai.
Afreet Se Phir Haider Ne Kaha.
Pehchan Mujhe Karrar Hoon Main.
Paya Hai Nabi Se Main Ne Alam.
ALLAH Ki Ik Talwar Hoon Main.
Himmat Hai Agar Tu Samne Aa.
Larney Ke Liye Teyar Hoon Main.
Dozakh Ka Peet Bhi Bhar Doon Ga.
Filnar Tujhey Main Kar Doon Ga.
Taigon Ki Baat Chali Hai.
Ghaiz Mein Shair-e-Jali Hai.
Jang Jinno Se Chiri Hai.
Samne Foaj Khari Hai.
Haider Haider Haider Haider.
Karrar Idhar Jinnat Udhar.
Phir Sholah Biyaan Guftar Chali.
Na Dekhney Wali Khilqat Se.
Kuch Dair Youn Hi Takrar Chali.
Baton Se Baat Na Ban Payi.
Tu Dhoom Se Phir Talwar Chali.
Talwar Chalai Maula Ne.
Afreet Ke Tukray Kar Dalay.
Shah-e-Jinnat Ke Martay Hi.
Kuffar Mein Youn Jazbat Uthay.
Tadad Hazaron Thi Unn Ki.
Jo Diyo Our Jinnat Uthay.
Lashkar Ke Sipahi Bhag Gaye.
Jab Khof Ke Yeh Halaat Uthay.
Jinnat Se Dar Kar Bhag Nahi.
Salman-o-Abuzar Bhag Nahi.
Lehrai Hawa Mein Taig-e-Ali.
Kat Kat Ke Girey Sar Our Badan.
Taqat Pe Jinhein Tha Naaz Bohat.
Taqseem Hoye Tukron Mein Woh Tan.
Jo Zindah Bachay Talwar Se Woh.
Parhne Lagay Kalma Khushk Dahan.
Har Waar Ali Ka Bhari Tha.
Jibreel Pe Larzah Tari Tha.
Osan Khata They Deyon Ke.
Jinnat Sabhi Ghabra Baithay.
Talwar Ki Haibat Aisi Thi.
Ajsaam Kayi Thara Baithay.
Jinnat Sabhi Kalma Parh Kar.
Qadmo Mein Ali Ke Aa Baithay.
Maula Ne Kaha Mat Ghabrao.
Salman Ab Pani Le Jao.
Jinnat Marey Tu Aag Bujhi.
Uthi Na Koi Phir Chingari.
Jab Aag Se Mati Jeet Gayi.
Nori Se Haar Gaye Nari.
Ik Jashan Howa Iss Dharti Par.
Our Narey Lagay Haider Haider.
Bas Khatam Riwayat Hoti Hai.
Jab :MESUM:-o-:MAZHAR: Jang Thami.
Raheel Our Zafar-e-Jin Ne Bhi.
Maula Ke Hath Pe Baiyat Ki.
Ashab Muhammad Ko Ja Kar.
Detey They Mubarakbad Sabhi.
Woh Beer Al-Alam Jab Fatha Howa.
Aati Thi Jinno Ki Aik Sada.
Poet: :Mazhar Abidi:
Manqabat Khuwan: :Mesum Abbas:
Manqabat Volume: :Mesum Abbas 2023-24:
Composition: :Mesum Abbas and Mazhar Abidi:
#MolaAliKiJinnatSeJang
#ManqabatLyrics
#tajpoint