Jab Pareshan Kabhi Ranj-o-Alam Karte Hain Lyrics In Urdu and Roman Urdu
جب پریشان کبھی رنج و الم کرتے ہیں
Hum Azzadar Nazar Soye Alam Karte Hain.
Apne Bacho Ko Balaon Se Bachane Ke Liye.
Naam-e-Abbas Ko Paishani Pe Dam Karte Hain.
Hukam-e-Quran Bhi Hai Zeenat-e-Eman Bhi Hai.
Hum Yehi Soch Ke Mazloom Ka Gham Karte Hain.
Apne Dukh Mein Kabhi Rona Bhi Gawara Na Kiya.
Zikar-e-Shabir Pe Bas Aankh Ko Nam Karte Hain.
Kar Ke Zanjeer Zani Khoon Baha Kar Apna.
Jaan Nisari Ka Haseen Baab Raqam Karte Hain.
Humein Fursat Hi Nai Zikar-e-Sheh-e-Wala Se.
Iss Liye Tazkira Aghyar Ka Kam Karte Hain.
Paak Zahra Ke Mukhalif Pe Tabara Kar Ke.
Hum Khata Kar Tu Saman-e-Iram Karte Hain.
Main Kahan Our Kahan Midhat-e-Aal-e-Ahmad.
Yeh Karemi Hai Woh :SAHIL: Pe Karam Karte Hain.
Poet: :Irfan Sahil Gujranwala:
#JabPareshanKabhi
#SalamLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com