Kabhi Tu Meharban Ho Kar Bula Lein Lyrics In Urdu 2017
Kabhi Tu Meharban Ho Kar Bula Lein.
Yeh Mehwash Hum Faqeeron Ki Dua Lein.
Na Jane Phir Yeh Rut Aye Na Aye.
Jawan Pholon Ki Kuch Khushbo Chura Lein.
-->
Bohat Roye Hum Zamane Ke Liye Hum.
Zara Apne Liye Aanso Baha Lein.
Hum un Ko Bholne Wale Nahi.
Samajte Hain Gham-e-Doraan Ki Chalein.
Humari Bhi Sanbhal Jaye Gi Halat.
Wo Pehle Apni Zulfein Tu Sanbhalein.
Nikalne Ko Hai Wo Mehtab Ghar Se.
Sitaron se Kaho Nazrein Jhuka Lekin.
Hum Apne Raste Par Chal Rahe Hain.
Janab Sheikh Apna Rasta Lein.
Zamana TU Younhi Rotha Rahe Ga.
Chalo :JALIB: Unhein Chal Kar Mana Lein.
Poet: :Habib Jalib:
Singer: :Ghulam Ali:
#KabhiTuMeharban
#GhazalLyrics
#tajpoint
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
