Haye Mola Imam Jafar e Sadiq Hasnain Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu
ہائے مولا اِمام جعفرِؑ صادقؑ
Jis Tarha Aag Se Saqeefa Ki Baab-e-Zahra Jala Madine Mein.
Roney Walo Imam-e-Sadiq Ka Ghar Jalaya Gaya Madine Mein.
Ghar Ke Andar Lapaktay Sholon Mein Be Amaan Betiyon Ko Dekha Jab.
Yaad Aayi Imam-e-Jafar Ko Sham-e-Karb-o-Bala Madine Mein.
Zehar Iss Bar Kuch Naye Rang Se Sheh Rag-e-Deen Mein Milaya Hai.
Aik Masmoom Taziyane Se Dein Pe Hamla Howa Madine Mein.
Taziyana Jo Bint-e-Sarwar Par Tha Laeeno Ne Haye Barsaya.
Phir Wohi Taziyana Maula Par Aaj Lehra Gaya Madine Mein.
Silsila Kab Thama Adawat Ka, Qabar-e-Jafar Ko Bhi Laeeno Ne.
Turbat-e-Fatima Ke Jaisay Hi Be Nishaan Kar Diya Madine Mein.
Sar Se Maula-e-Mosa Kazim Ke Aaj Saya Padar Ka Uthta Hai.
Aaj Phir Fatima Ke Betay Ka Farsh-e-Matam Bicha Madine Mein.
Kaun Bani Hai Iss Riwayat Ka, Koi Pochay Tu Kalma Goyon Se.
Zehar Deney Ka Silsila :HAIDER:, Kis Ke Ghar Se Chala Madine Mein?
Poet: :Faraz Haider Kazmi:
Noha Khuwan: :Hasnain Abbas:
Noha Volume: :Hasnain Abbas 2022-23:
Composition: :Hasnain Abbas:
#HayeMolaImamJafareSadiq
#NohayLyrics
#tajpoint