Dastaan Gham Ki Raqam Kuch Youn Sakina Kar Gayi Hasan Sadiq Lyrics 1997
Dastaan Gham Ki Raqam Kuch Youn Sakina Kar Gayi Hasan Sadiq.
Rang Woh Tasveer-e-Dein Mein Apne Khoon Se Bhar Gayi.
Oss Ki Rag Rag Mein Hussain Ibn-e-Ali Ka Khon Hai.
Kaun Kehta Hai Sakina Qaid Mein Thi Dar Gayi.
Chaar Sala Aik Bachi Qaid Ho Ke Sham Mein.
Ik Alag Zindan Mein Hai Deen Ki Khatir Gayi.
Kis Qadar Manoos Bibi Ho Gayi Zindan Mein.
Sham Hi Mein Reh Gayi Wapis Na Apne Ghar Gayi.
Phophi Amma Aao Dekho Sham Ke Zindan Mein.
Baba Baba Kehte Kehte Haye Sakina Mar Gayi.
Dein Pe Masooma Ka Aisa Ho Gaya Charcha :AMEER:.
Sar Katay Khaimay Jalay Our Chadar-e-Athar Gayi.
Poet: :Syed Shah Ameer Hussain Mashhadi:
Noha Khowan: :Hassan Sadiq:
Noha Volume: :Hassan Sadiq 1997-98:
#DastaanGhamKiRaqam
#NohayLyrics
#tajpoint