Kazim Ka Hai Janaza Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu
کاظمؑ کا ہے جنازہ بغداد کے پُل پر
Kazim Ka Hai Janaza Baghdad Ke Pul Par.
Roney Ko Aaein Zahra Baghdad Ke Pul Par.
Pacheeswin Rajab Ko Taboot Hai Yeh Kaisa.
Doba Howa Lahu Mein Zanjeer Mein Hai Jakra.
Hai Teen Din Se Rakha Baghdad Ke Pul Par.
Haroon Ne Na Jane Kaisa Zehar Diya Hai.
Tan Pash Pash Haye Kazim Ka Ho Gaya Hai.
Gathri Mein Aaye Maula Baghdad Ke Pul Par.
Beta Imam Ka Hai Baba Imam Ka Hai.
Sheh Ki Tarha Se Iss Pe Ghurbat Ki Inteha Hai.
Be Goor-o-Be Kafan Tha Baghdad Ke Pul Par.
Jis Be Watan Ki Maiyyat Mazdoor Ne Uthai.
Maiyyat Pe Jis Padar Ki Beti Bhi Ro Na Payi.
Roti Hai Oss Ko Dunya Baghdad Ke Pul Par.
Utray Badan Ke Tukray Zanjeer Mein Lipat Kar.
Masooma Dekhti Tu Mar Jati Woh Wahin Par.
Kis Haal Mein Hai Baba Baghdad Ke Pul Par.
Sarwar Ki Ladli Pe Chodah Baras Jo Roya.
Abid Ko Sath Le Ke Karne Ko Oss Pe Giriya.
Aati Hai Khud Sakina Baghdad Ke Pul Par.
Uthta Hai Jab Janaza Haye Satwein Ali Ka.
Karne Ko Oss Pe Giriya Aatin Hain BiBi Zahra.
Logo Adab Se Aana Baghdad Ke Pul Par.
Jab Kazmain Jao Kazim Ka Gham Mananay.
Aye :ARSALAN:-o-:MEESUM: Wajib Howa Hai Tum Pe.
Taboot Tum Uthana Baghdad Ke Pul Par.
Poet: :Azlan Azmi – Arsalan Azmi:
Noha Khuwan: :Mesum Abbas:
Noha Volum: :Mesum Abbas 2020-21:
Composition: :Mesum Abbas:
#KazimKaHaiJanaza
#NohayLyrics
#tajpoint