Awal O Aakhir Aeeliya Joan Rizvi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
اوّل و آخر ایلیاؑ
Aala Hai Ali, Aali Hai Ali, Quraan Hai Ali, Burhaan Hai Ali.
Sultan-e-Zaman, Har Dil Ka Chaman, Qayam Bhi Ali, Daim Bhi Ali.
Hazir Bhi Ali, Nazir Bhi Ali, Kul Aalam Ka, Nasir Bhi Ali.
Ghuti Mein Piya, Yehi Naam Liya, Har Sans Jiya, Ali Ali Hi Kiya.
Iss Mein Nahi Shak, Yeh Baat Hai Haq, Hai Nafs-e-Nabi, ALLAH Talak.
Aeliya Aeliya Awwal-o-Aakhir Aeliya, Fatah-e-Khaybar Aeliya, Ali Maula Ali Maula.
Ali Ilm-e-Khuda Ka Waris Hai Yeh Baat Aadam Bhi Manta Hai.
Qudrat Jo Ali Ke Hath Mein Hai Jibreel Ossay Pehchanta Hai.
Banda Hai Ali Par Kam Khuda Ke Sare Hi Woh Janta Hai.
ALLAH Ka Mehram Haiderrr Hai Waris-e-Aadam Haiderrr.
Jibreel Kahey Jisay Ustadam.
Woh Ali Hai, Woh Ali Hai, Woh Ali Hai.
Kiya Ishq-e-Ali Ke Nashay Mein, Meesum Ne Daar Pe Yeh Ayelan.
Subh-e-Mehshar Tak Ali Ali Hoga, Hai Yeh Hi Mera Eman.
Na Zikar-e-Ali Ruk Paye Ga Khanjar Se Bhalay Kat Jaye Zaban.
Meesum Ka Hai Narah Haiderrr, Sar-e-Daar Pukara Haiderrr.
Marne Nahi Deti Jis Ki Wila.
Woh Ali Hai, Woh Ali Hai, Woh Ali Hai.
Pakeeza Dilon Ka Wird Wazeefa Our Sakoon Hai Nam-e-Ali.
Behlol Ke Jaisay Dana Dewano Ka Juno Hai Nam-e-Ali.
Imkan Se Mumkin Tak Dekho Tu Kun Faykoon Hai Nam-e-Ali.
Roh-e-Qurani Haiderrr, Emaan Ki Nishani Haiderrr.
Sab Dunya Hai Jis Ki Dewani.
Woh Ali Hai, Woh Ali Hai, Woh Ali Hai.
Ali Ki Madar Ke Qadmo Ki Aahat Se Tha Waqif Rab Ka Ghar.
Aaein Kabay Ko Jab Woh Ali Ali Keh Kar, Ban Gaya Khud Dewar Mein Dar.
Kaha Bint-e-Asad Ko Mariyam Ne, Aye Bibi Mubarak Ho Haider.
Esa Ka Sahara Haiderrr, Aalam Ka Maseeha Haiderrr.
Deta Hai Jis Ka Zikar Shifa.
Woh Ali Hai, Woh Ali Hai, Woh Ali Hai.
Jo Dastar-e-Nabi Sar Par Ali Ke Hai Gawahi Hai.
Rasool ALLAH Ke Jaisi Ali Ki Badshahi Hai.
Pukaro Kehta Hai Rab Mujh Ko Achay Achay Namo Se.
Kahon Main Ya Ali Kyun Na, Ali Ism-e-Elahi Hai.
Ali Haq Hai Jahan Jaye Ali Haq Oss Taraf Jaye.
Jo Haq Par Hai Ossi Ke Sajdoon Ki Kabay Ko Saf Jaye.
Ali Ke Kabay Mein Aane Ki Khul Jaye Haqeeqat Tu.
Zamana Roz Chal Ke Sar Ke Bal Soye Najaf Jaye.
Ali Hi Qowat-e-Yazdaan Hai Yeh Emaan Hamara Hai.
Ali Shair-e-Jali Hai Woh Kissi Se Bhi Na Hara Hai.
Ho Ibn-e-Abad-e-Wod Khandaq Mein Ya Khaybar Marhab Ho.
Ali Ne Mar Kar Dushman Ko Har Maidan Mara Hai.
Ali Ali Har Dam Karda Ja, Ali Ali Har Dam Karda Ja.
Eko Wird Hai Dam Dam Ali Ali.
Jay Tu Rab De Neray Hai Rehraan.
Munkiraan De Kadi Kool Nayi Behraan.
Uthdiyaan Baindiyaan Ali Ali Kehraan.
Hoor Kisay Da Naa Nayi Lairaan.
Ali Ka Jashan Yeh :JOAN:-o-:ASAD: Jo Bhi Manaye Ga.
Ali Ke Naam Par ALLAH Se Khairat Paye Ga.
Ali Ki Shan Sun Kar Sar Jhukaye Ga Jo Tazeeman.
Woh Apna Sar Utha Kar Shan Se Mehshar Mein Aaye Ga.
Poet: :Asad Ali Asad:
Manqabat Khuwan: :Joan Rizvi:
Manqabat Volume: :Joan Rizvi 2022-23:
Composition: :Munawar Ali Khan:
#AwalOAakhirAeeliya
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com