Darbar Se Kya Zakhm Utha Layi Hai Zahra Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Darbar Se Kya Zakhm Utha Layi Hai Zahra Lyrics In Urdu and Roman Urdu

دربار سے کیا زخم اُٹھا لائی ہے زہراؑ

Ik Aag Kalejay Mein Chupa Layi Hai Zahra.

Kyun Teri Gawahi Ko Jhutlaya Giya Hai.
Kiss Jurm Ki Umat Se Saza Payi Hai Zahra.
Soo Zakhm Jigar Haye Marham Na Dawa Hai.
Iss Gham Mein Hi Matam Ki Fugan Layi Hai Zahra.
Mohsin Ki Shahadat Bhi Ik Koh-e-Alam Hai.
Yasrab Pe Mosaib Ki Ghata Chayi Hai Zahra.
Aankhon Se Bahe Aanso Our Khoon-e-Jigar Bhi.
Umat Tere Iss Gham Ki Tamashai Hai Zahra.
Kya Beet Gayi Dill Pe Mushkil Ye Biyaan Hai.
Ye Baat Qiyamat Ki Khabar Layi Hai Zahra.
Umat Ne Sataya Hai Youn Baad-e-Paimber.
Tasveer Gham-o-Ranj Ki Kehlai Hai Zahra.
Halqe Pare Aankhon Mein Nohoon Ka Sabab Hai.
Na Baap Raha Sar Par Na  Bahi Hai Zahra.
:MAZHAR: Ye Mosibat Thi Shehzadi Ke Dill Par.
Darbar Mein Jana Bari Ruswai Hai Zahra.
Poet: :Mazhar Abidi:
NohaKhowan: :Syeda Amber Naqvi:
Noha Volume: :Syeda Amber Naqvi 2009-10:
#DarbarSeKyaZakhm
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

error: Content is protected !!