Karbobala Ki Basti Laeeq Raza Lyrics In Urdu and Roman Urdu
کرب و بلا کی بستی
Hai Yeh Atta Ki Basti.
Hussain Maula Ne Youn Basai Zameen Pe Karb-o-Bala Ki Basti.
Tawaf Karne Ko Roz Aaye Falak Se Arsh-e-Olla Ki Basti.
Jo Raaz Tum Ko Bata Raha Hoon Yeh Raaz Mosa Ko Bhi Batao.
Idhar Udhar Na Kahin Pe Bhatko Yahan Wahan Na Kahin Pe Jao.
Khuda Se Milne Ki Aarzu Ho Tu Karbala Ke Nagar Mein Aao.
Khuda Ke Bandon Qasam Khuda Ki Faqat Yehi Hai Khuda Ki Basti.
Hussain Jab Se Basay Yahan Par Tabhi Se Sarwar Yahin Basay Hain.
Jo La Makaan Ke Makeen They Haider Suna Hai Aa Kar Yahin Basay Hain.
Batool Ka Bhi Yehi Hai Maskan Janab-e-Shabar Yahin Basay Hain.
Darood Walay Sabhi Yahin Hain Basi Hai Phir Se Kisa Ki Basti.
Wafaon Ki Gar Tarap Hai Dil Mein Wafa Ke Shah Se Wafa Nibhao.
Batool Ki Hai Sada Musalsal Alam Uthao Murad Pao.
Alam Hai Ahl-e-Wafa Ka Kaba Yahin Pe Sajday Mein Sar Jhukao.
Alam Sakhi Ka Jahan Jahan Hai Wahin Wahin Hai Wafa Ki Basti.
Rubai: Shaukat Raza :SHAUKAT:.
Hussain Hubdar Ka Bharam Hai, Hussain Ka Gham, Nijat-e-Gham Hai.
Hussain Ke Dam Se Dam Mein Dam Hai, Hussain Wala Kissi Se Kam Hai.
Hussain Ka Loh Par Qalam Hai, Hussain Ka Arsh Par Qadam Hai.
Hussain Hi Ka Nagar Iram Hai, Hussain Ki Karbala Karam Hai.
Tamam Aalam Ki Sajdah Ga Hai Mili Hai Iss Khak Ko Yeh Zeenat.
Zamane Bhar Mein Shifa Yeh Bantay Badal Di Mati Ki Iss Ne Teenat.
Issi Ka Dunya Pe Faiz Hai Keh Bachi Risalat Rahi Wilayat.
Khuda Ko Jis Ne Khuda Kiya Hai Ajeeb Hai Yeh Atta Ki Basti.
Woh Aik No Shah Jo Bewah Maa Ne Barey Hi Nazoon Se Tha Sajaya.
Kiya Hai Pamal Ossko Zindah Youn Oss Pe Ummat Ne Zulm Dhaya.
Najanay Tukray Chunay Hain Kaisay Hussain Ghatri Mein Kaisay Laya.
Mila Hai Khak-e-Shifa Mein Sehra Lahu Lahu Hai Hina Ki Basti.
Nabi Ki Itrat Pe Karbala Mein Yeh Kaisi Aayi Hai Sham Bhari.
Jala Ke Khaimay Sitamgaron Ne Rida Ke Sar Se Rida Utari.
Saja Ke Khak-e-Shifa Ki Chadar Batool Zadi Yeh Ro Pukari.
Koi Tu Abbas Ko Bataye Ujar Gayi Hai Rida Ki Basti.
Woh Chodah Sadiyon Se Jis Ke Ghar Pe Kiye Hoye Hain Qaza Ne Saye.
Jo Karb Oss Pe Guzar Raha Hai Biyaan Mein :BAHLOOL: Kaisay Laye.
Janab-e-Qayam Ka Hai Jo Noha :LAEEQ: Kaisay Koi Sunaye.
Woh Jis Ki Aankhon Se Khon Ban Ke Baras Rahi Hai Azza Ki Basti.
Poet: :Hashmat Raza Bahlool:
Noha Khuwan: :Laeeq Raza:
Noha Volume: :Laeeq Raza 2021-22:
Composition: :Laeeq Raza:
#KarbobalaKiBasti
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com