Aawaz Tu De Akbar Lyrics in Urdu 2007
Aawaz Tu De Akbar Write Up in Urdu 2007
Kariyal Jawaan Ki Laash Par Kehta Raha Ro Kar Padar Awaz Tu De Akbar.
Girta Howa Uthta Howa Aa Tu Giya Hoon Main Magar Ghum Ho Giya Noor-e-Nazar.
Tu Nojawaan Hai Akbar Our Hai Zaieef Baba.
Kaise Uthaon Maiyat Mujh Ko Tu Bata De Itna.
Jana Hai Ab Khaiyaam Tak Kaise Karon Main Yeh Safar.
Kham Ho Gayi Meri Kamar.
Ayi Sada Jidhar Se Main Oss Taraf Barhoon Ga.
Awaz Sunte Sunte Tujhe Un Mein Dhoond Hi Loon Ga.
Tu Hai Jidhar Piyare Mere Dihray Se Yeh Kehte Howay.
Baba Idhar Baba Idhar.
Sughra Ke Nama War Ko Khat Ka Jawab Kya Doon.
Jo Muntazir Hai Oss Ko Barchi Ka Haal Suna Doon.
Rasta Se Ab Nazrein Hata Mara Giya Bahi Tera.
Kya Bheej Doon Oss Ko Khabar.
Teri Sada Ko sun Kar Wo Phir Se Jee Uthay Gi.
Hamsheer Teri Warna Shayad Nahi Jee Paye Gi.
Seene Ki Barchi Thaam Ke Sughra Ko Oss Ke Naam Se.
Ik Bar Himat Joor Kar.
Barchi Se Bas Kaleja Tera Nahi Chida Hai.
Maqtal Mein Fatima Ne Dil Apna Tham Liya Hai.
Bahi Hassan Nana Nabi Baba ALi Dadi Teri.
Mojood Hain Sab Hi Idhar.
Kaise Biyaan Karon Main Wo Dard Naak Manzar.
Saktay Mein Thi Khudai Rota Tha Sara Lashkar.
Jab Fatima Ke Laal Ne Hathoon Pe Le Kar Khaak Se.
Rakh Kar Kaha Zanoo Pe Sar.
Lashay Ke Dono Janib Bathein Hain Maein Dono.
Seene Pe Bosay Dekar Leti Hain Balein Dono.
Zainab Idhar Laila Idhar Chomein Tera Zakhmi Jigar.
Inn See Tu Koi Baat Kar.
:AKBAR: Janab-e-Akbar Khamoosh Ho Gay The.
Shabir Sar Jhukaye Lashay Ke Pass Kharay The.
Zainab Kabhi Laila Kabhi Behne Kabhi Kabhi Nama War.
Kehta Raha Yeh Sara Ghar.
Poet: :Hasnain Akbar:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2007-08:
#AawazTuDeAkbar
#NohayLyrics
#tajpoint