Dijiye Akbar Ka Sadqa Ya Hussain Muhammad Raza Mungla Lyrics In Urdu
دیجئے اکبرؑ کا صدقہ یا حُسینؑ!
Istegasa Hai Hamara Ya Hussain!
Dijiye Akbar Ka Sadqa Ya Hussain!
Mushkilein Hain Sakhtiyaan Hain Kya Karein.
Hal-e-Gham Juz Aap Ke Kis Se Kahin.
Aap Hi Ka Hai Sahara Ya Hussain!
Dijiye Akbar Ka Sadqa Ya Hussain!
Muflison Ka Be Kason Ka Aasra.
Kaun Hai Be Aasron Ka Aasra.
Aap Hi Tu Hain Maseeha Ya Hussain!
Dijiye Akbar Ka Sadqa Ya Hussain!
Nemat-e-Aoulad Jin Ko Chahiye.
Nam-e-Asghar Aisi Maon Ko Miley.
Matami Molai Beta Ya Hussain!
Dijiye Akbar Ka Sadqa Ya Hussain!
Har Hussaini Ko Atta Ho Aisa Ghar.
Majlis-o-Matam Jahan Ho Umar Bhar.
Ghar Pe Saya Ho Alam Ka Ya Hussain!
Dijiye Akbar Ka Sadqa Ya Hussain!
Hum Azadaron Ka Yeh Shewah Nahi.
Jholiyaan Phailaein Apni Our Kahin.
Aap Hi Se Hai Yeh Rishta Ya Hussain!
Dijiye Akbar Ka Sadqa Ya Hussain!
Har Hussaini Ki Tamana Hai Yehi.
Karbala Ki Ho Ziyarat Syedi!
Wasta Hai Syeda Ka Ya Hussain!
Dijiye Akbar Ka Sadqa Ya Hussain!
Hai :IRAM: Bhi Our :RAZA: Bhi Multaji.
Ho Ziyarat Har Muqadas Shehar Ki.
Hum Karein Rozon Pe Giriya Ya Hussain!
Dijiye Akbar Ka Sadqa Ya Hussain!
Poetess: :Shumaila Iram:
Manqabat Khowan: :Muhammad Raza Mungla:
Manqabat Volume: :Muhammad Raza Mungla 2022-23:
Composition: :Muhammad Raza Mungla:
#DijiyeAkbarKaSadqa
#ManqabatLyrics
#tajpoint