Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai Lyrics 2009

Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai Lyrics 2009

Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai.

Kya Haal Yeh Umat Ne Zahra Ka Banaya Hai.

Khatoon Koi Gham Se Youn Choor Nahi Dekhi.
Aysi Koi Dunya Mein Mastoor Nahi Dekhi.
Atharah Baras Mein Hi Lagti Jo Zaeefa Hai.

Darbar Mein Zalim Ne Ki Aysi Pazerai.
Kis Tarah Se Tu Bibi Phir Loat Ke Ghar Ayi.
Balon Ki Safedi Ne Sab Haal Sunya Hai.

Tu Roti Rahi Ghar Mein Haider Se Bhi Chup Chup Ke.
Ismat Ki Tarha Dukh Bhi Parde Mein Rahe Tere.
Kuch Dard Tere Bibi Bas Janti Fiza Hai.

Do Ayse Janaze Hain Tareki Mein Jo Uthe .
Bas Ghar Ke Hi Logon Ne Dono Ko Diye Kandhe.
Ik Fatima Zahra Hai Ik Bali Sakina Hai.

Marham Tere Zakhmo Ka Bibi Na Mila Ab Tak.
Ulad-e-Umaiya Ki Baki Hai Jafa Ab Tak.
Rone Pe Bhi Pehra Tha Turbat Pe Bhi Pehra Hai.

Mismar Tera Roza Umat Ne Kiya Jab Se.
Baba Tera Rehta Hai Turbat Pe Teri Tab Se.
Kab Gunbad-e-Khizra Mein Baba Tera Rehta Hai.

Mehdi Se Koi Poche Kya Oss Pe Guzarti Hai.
Awaz Baqaiya Se Jab Rone Ki Aati Hai.
Ankhon Se Laho Ro Kar Woh Bhi Yehi Kehta Hai.

Tasveer Haqiqat Ki Khowabon Ko Bana Dijay.
Aye Bibi :TAKALLUM: Ko Tabeer Dikha Dijay.
Matam Tere Turbat Pe Hote Howay Dekha Hai.

Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2009-10:
Ayyam-e-Fatima Noha 2009-10

#PehluBhiShikastaHai
#NohayLyrics
#tajpoint

Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai Lyrics 2009 Write Up Poster Image

Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai Lyrics 2009

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!