Aap Ache Hain Chacha Par Yeh Zamaana Nahi Acha 2000
Aap Ache Hain Chacha Par Yeh Zamaana Nahi Acha.
Piyas Achi Hai Magar Aap Ka Jana Nahi Acha.
Asmaan Roye Ga Khaimo Mein Qayamat Ho Gi.
Din Alam Dahaye Alam Khaimo Mein Lana Nahi Acha.
Sirf Ik Raat Mein Kyun Burha Howa Sajjad.
Sar Khule Maon Ke Baiton Ko Dikhana Nahi Acha.
Aik Shehzadi Thi Jis Shehar Ki Bibi Zainab.
Oss Ke Bazaroon Mein Zainab Ko Phirana Nahi Acha.
Jaise Zindaan Mein Sakina Hai Mili Baba Se.
Oss Tarha Baap Se Beti Ko Milana Nahi Acha.
Khush Naseebi Hai Jo De Baap Ko Beta Kandha.
Baap Ka Lashe Jawaan Haye Uthana Nahi Acha.
Qabar Asghar Ki Bana Kar Hai Pareshan Hussain.
Aag Si Rait Mein Ik Phool Chupana Nahi Acha.
Ab Hamesha Main Rahon Gi Issi Zindaan Mein Chacha.
Main Na Kehti Thi Mujhe Choor Ke Jana Nahi Acha.
Sar Khule Bibiyaan Roti Hain Azza Khano Mein.
Shab-e-Aashoor Cheragon Ko Jalana Nahi Acha.
Har Khushi Sadqay Mein Zainab Ke Khuda De Tujh Ko.
Haan Muharam Mein Khushi Koi Manana Nahi Acha.
Hum Ali Walon Ko Aye :SARWAR-O-REHAN: Kabhi.
Farsh-e-Matam Ke Siwa Dhondne Jana Nahi Acha.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1999-2000:
#AapAcheHainChacha
#NohayLyrics
#tajpoint