Labbaik Ya Imam Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1995

Labbaik Ya Imam Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1995

Labbaik Ya Imam Nadeem Sarwar Lyrics

Labbaik, Labbaik, Labaik Ya Imam.
Aaiye Ya Barhwein Imam.
Kijiye Zahoor Ya Imam.

Barh Rahi Hain Zulm-o-Jabar Ki Moheeb Aandhiyaan.
Gir Rahi Hain Momino Ke Qalb-o-Jaan Pe Bijliyaan.
Uth Rahi Hain Deen-e-Mustafa Ki Simt Ungliyaan.
Hujat-e-Khuda Hain Aap Dein Ko Dijiye Amma.
Har Qadam Pe Ab Tu Aik Karbala Hai Ya Imam.

Har Baras Arezay Mauj Ke Sapurd Kar Chukay.
Zakhm-e-Intezar Se Jigar Hamarey Bhar Chukay.
Kitne Loag Jee Rahe Hain Kitne Loag Mar Chukay.
Zabt Ke Tamam Raston Se Hum Guzar Chukay.
Lab Pe Aap Ke Zahoor Ki Dua Hai Ya Imam.

Chodah So Baras Se Zulm Seh Rahe Hain Ya Imam.
Raz-e-Karbala Har Ik Se Keh Rahe Hain Ya Imam.
Sheh Ke Gham Mein Ashk Ab Bhi Beh Rahe Hain Ya Imam.
Zulm Ke Moqablay Pe Dat Gaye Hain Ya Imam.
Aap Ka Jo Dil Ko Aik Hosla Hai Ya Imam.

Jad Hain Aap Ke Ali, Ali Hain Shair-e-Kibriya.
Seerat-e-Batool Kya Hai, Aap Ka Hai Madrasa.
Dars-e-Sabar Aap Ne Hussain Hi Se Hai Liya.
Khatama Karein Gay Aap Aa Ke Zulm-o-Jabar Ka.
Sath Aap Ke Dua-e-Syeda Hai Ya Imam.

Gaib Par Yaqeen Nahi Jisay Woh Munkir-e-Khuda.
Jis Ko Gaib Par Yaqeen Hai Woh Parhey Ga LaIlaha.
LaIlaha Parh Ke Ho Gaya Rasool Aashna.
Jo Rasool Aashna Hai Woh Mohib Hai Aap Ka.
Yeh Nabi Ka Our Khuda Ka Faisla Hai Ya Imam.

Aik Do Nahi Kayi Jawaan Shaheed Ho Gaye.
Karbala-e-Asar Mein Sitam Mazeed Ho Gaye.
Zulm Ke Tamam Silsilay Shadeed Ho Gaye.
Pairway Yazid Aaj Khud Yazid Ho Gaye.
Aap Ka Hussainiyon Ko Aasra Hai Ya Imam.

Maon Ne Pisar Behan Ne Bhai Nazar Kar Deiye.
Bachay Bhi Shaheed Hoye Sohag Bhi Ujar Gaye.
Baap Ne Gham-e-Hussain Mein Lahu Jigar Kiye.
Jari Aaj Bhi Hain Majlis-e-Azza Ke Silsilay.
Aaiye Keh Panjtan Ka Wasta Hai Ya Imam.

Lash Jab Hussain Ne Uthai Thi Jawan Ki.
Qabar Jab Banai Thi Sagheer Be Zaban Ki.
Aankh Nam Hoi Thi Jab Zameen-o-Aasman Ki.
Yaad Hai Wohi Ghari Hussaini Imtehan Ki.
Apna Gham Ossi Sabab Bhula Diya Ya Imam.

Aslam Alaik Ya Imam-e-Asar-Wal-Zamaan.
Al-Aman, Al-Aman Aye Imam-e-Ins-o-Jaan.
Alajal, Al-Ajal Aye Shareekat Al-Quran.
Aap Ke Zahoor Ka Hai Muntazir Sabhi Jahan.
:SARWAR-o-REHAN: Ki Bhi Yeh Sada Hai Ya Imam.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1994-95:

#HogiYehMajlisTuHogi
#NohayLyrics
#tajpoint

Labbaik Ya Imam Nadeem Sarwar Lyrics

Labbaik Ya Imam Nadeem Sarwar Lyrics Old Noha

Labbaik Ya Imam Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1995 Write Up Poster Image

Labbaik Ya Imam Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1995

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!