Aag Khaimo Mein Lagi Hai Zurriat Imran Sherazi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
آگ خیموں مِیں لگی ہے
Aag Khaimon Mein Lagi Hai Our Dhowaan Khamosh Hai.
Teer Sare Chal Chukay Hain Har Kamaan Khamosh Hai.
Jis Ke Hathoon Ke Isharey Se Urrey Maidaan Mein Sar.
Woh Jarri Bhai Behan Ke Darmiyaan Khamosh Hai.
Maut Ne Baba Ki Jis Ko Dard Itna De Diya.
Roi Hai Baba Ko Itna Keh Fogaan Khamosh Hai.
Na Khuda Islam Ka Khanjar Talay Sajday Mein Hai.
Samne Shabeer Ke Har Imtehaan Khamosh Hai.
Loot Li Hain Shimar Ne Ahl-e-Haram Ki Chadrein.
Dasht Mein Inn Chadron Ka Pasbaan Khamosh Hai.
Rooz-e-Ashora Hai Jin Pe Yeh Jahan Giriya Kuna.
Seena-e-Akbar Mein Tooti Ik Sina Khamosh Hai.
Dar Pe Khaimay Ke Khari Hai Kibriya Ki Aabro.
Deen Ki Sheh Rag Kati Hai Har Gumaan Khamosh Hai.
Be Amma Hain Dasht Mein Mushkil Kusha Ki Betiyaan.
Sab Ridaein Lut Chuki Hain Saibaan Khamosh Hai.
Dekhti Jati Hai Mur Mur Ke Soye Nehar-e-Furat.
Hath Mein Zainab Pehan Kar Rasiyaan Khamosh Hai.
Pyas Ki Shiddat Bhi Hai Our Tang Halqa-e-Rasan.
Ik Faqat Lab Hil Rahe Hain Our Zabaan Khamosh Hai.
Ghairat-e-Rab-e-Jali Rota Hai Aanso Khon Ke.
Samne Sajjad Ke Sara Jahan Khamosh Hai.
Parh Rahi Hai Sham Ke Darbar Mein Khutbay :RAZA:.
Robaro Bint-e-Ali Ke Har Azaan Khamosh Hai.
Poet: :Raza Chakwal:
Noha Khuwan: :Zurriat Imran Sherazi:
Noha Volume: :Zurriat Imran Sherazi 2016-17:
Composition: :Mujtaba Shah Kazmi:
#AagKhaimoMein
#NohaLyrics
#tajpoint