Aisa Tu Koi Shair Kahon Main Hayat Mein Lyrics In Urdu and Roman Urdu
ایسا تو کوئی شعر کہوں مَیں حیات مِیں
Jo Likh Sakoon Main Apni Baiyaaz-e-Nijaat Mein.
Yeh Kis Ne Keh Diya Ke Main Tanha Lahad Mein Hoon.
Khushbo Gham-e-Hussain Ki Laya Hoon Sath Mein.
Aye Lashkar-e-Sipah-e-Yazeedi Sanbhal Ke Aa.
Zanjeer Matami Hai Abhi Mere Hath Mein.
Thanda Na Karte Shair Ke Guse Ko Gar Hussain.
Pani Na Milta Rakh Hi Milti Furat Mein.
Baag-e-Fidak Ke Jurm Mein Bakhshe Na Jaein Gaye.
Shamil The Jitne Loag Bhi Iss Wardaat Mein.
Tabdeel Kar Sako Gaye Na Tareekh-e-Karbala.
Jitni Bhi Hair Phair Karo Waqiyaat Mein.
Matam Ke Daag Seene Pe Roshan Hain Iss Tarha.
Jaise Falak Pe Chand Chamakta Ho Raat Mein.
Jo Mustahib Samajhta Hai Zikar-e-Gham-e-Hussain.
Samajhe Na Woh Namaz Ko Bhi Wajbaat Mein.
Jo Rokta Hai Majlis-o-Matam Koi Bhi Ho.
Iblees Ban Ke Betha Hai Rah-e-Nijaat Mein.
Ik Shab Ke Fasle Se Bacha Le Gaye Hussain.
Dozakh Ki Aag Bethi Rahi Hur Ki Ghaat Mein.
:ANSAR: Ghulam-e-Shah-e-Shaheedaan Azal Se Hon.
Lagzish Kahan Se Aaye Gi Paye Sabaat Mein.
Poet: :Ansar Rizvi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2004-05:
#HayatMein
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com