Ali Haider-e-Karrar Lyrics In Urdu and Roman Urdu
علیؑ حیدرؑ ِکرّار
Hai Aaj Bhi Ghaibat Mein Yadullah Ki Talwar.
ALLAH Ne Ik Noor Se Kya Rishta Banaya.
Ahmad Ko Mila Noor Yeh Chodah Mein Samaya.
Awal Hoon Ke Aakhir Hoon Muhammad Ke Hain Kirdar.
Sultan-e-Jahan Rab Ke Wali Ghaiz Mein Bole.
Thara Giya Marhab Jo Ali Ghaiz Mein Bole.
Hai Naam Mera Maa Ne Rakha Haider-e-Karrar.
Tum Lakh Bithate Raho Zindan Ka Pehra.
Islam Ki Hurmat Ko Bachaye Ga Hamesha.
Mukhtar Hain Shabir Ke Yeh Sare Azadar.
Jurt Ki Zirah Pehne AliA Ran Mein Jo Pohanche.
Mula Ko Addo Dekh Ke Roye Koi Bhagay.
Kufar Jo Bhagay Tu Pare Reh Gaye Hathiyar.
Kis Shan Se Mula Ne Rakabon Ko Sanbhala.
Phir Noor-e-Mubarak Ko Zameen Par Hai Utara.
Lagta Tha Nabi Aate Hoon Pehne Howay Dastar.
Roza Hoon Namazein Hoon Ibadat Ka Koi Dhang.
Elan-e-Wilayat Ke Bina Sari Hain Be-Rang.
Iblees Na Ban Ho Ga Tera Sajda Bhi Bekar.
Kitna Hai Karam Tujh Pe :HASAN: Mula Ali Ka.
Bachpan Se Hi Parhta Hai Qasida Tu Wali Ka.
Likhwaya Giya Tujh Se :WAJHI: Ne Parhe Ashar.
Poet: :Sabeeh Hasan Zaidi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2018-19:
#AliHaidereKarrar
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com