Mazdooron Kay Kandhon Par Kazim Ka Janaza Hai Lyrics 2018
Mazdooron Kay Kandhon Par Kazim Ka Janaza Hai.
Baghdad Ke Qaidi Par Zindan Bhi Rota Hai.
Iss Dard Ne Turbat Mein Sajjad Ko Tarpaya.
Zindaan Se Nikal Kar Bhi Aazad Na Ho Paya.
Hai Pehla Janaza Jo Zanjeeron Mein Jakra Hai.
Zanjeeron Ko Takti Hai Shano Ko Hilati Hai.
Maiyyat Ko Kabhi Apni Godi Mein Uthati Hai.
Ik Hath Hai Pehlu Par Lagta Hai Yeh Zahra Hai.
Zarray Bhi Laho Ro Kar Rodad Sunate Hain.
Qadmo Ke Nishaan Iss Ke Zindaan Mein Batate Hain.
Yeh Nazaa Ke Aalam Mein Kis Tarha Se Tarpaya Hai.
Jo Loag Guzarte Hain Aapas Mein Yeh Kehte Hain.
Ghar Walay Tu Yasrab Mein Iss Qaidi Ke Rehte Hain.
Phir Iss Ke Janazay Par Yeh Koan Zaeefa Hai.
Kehti Hai Koi Bibi Hai Waqt Musibat Ka.
Ab Jald Madine Se Aa Ja Aye Raza Aa Ja.
Be-Goor-o-Kafan Kab Se Beta Tera Baba Hai.
Har Rooz Hi Jati Hai Woh Turbat-e-Zahra Par.
Ja Kar Wahan Kehti Hai Masooma-e-Qum Ro Kar.
Dadi Mere Baba Ko Kya Aap Ne Dekha Hai.
Shabir Ki Ghurbat Ka Noha Yeh Sunate Hain.
Sokhe Howay Lab Iss Ke Ummat Ko Batate Hain.
Iss Ne Bhi Dam-e-Aakhir Pani Nahi Paya Hai.
Ghurbat Hai :TAKALLUM: Yeh Shabir Ki Ghurbat Si.
Ik Beti Hai Yasrab Mein Sughra Ki Tarha Iss Ki.
Iss Wastay Maiyyat Ka Rukh Soye-e-Madina Hai.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khowan: :Mir Hassan Mir:
New Noha 25 Rajab 2018 Shahdat Imam Musa Kazim
#KazimKaJanazaHai
#NohayLyrics
#tajpoint