Qaidi Ka Janaza Hai Qurban Jafri Lyrics In Urdu
قیدی کا جنازہ ہے
Qaidi Ka Janaza Hai Zakhmi Ka Janaza Hai Aahista Uthao.
Paiwast Ho Chukin Hain Zanjeerein Jo Badan Mein Unn Ko Na Hilao.
Aye Kalma Parhne Walo Main Bint-e-Mustafa Hoon.
Maiyyat Wasool Karne Chor Aayi Baqiya Hoon.
Be Jurm Ka Janaza Baloon Se Youn Pakar Kar Bahir Tu Na Lao.
Ghusal-o-Kafan Ka Tum Se Hargiz Nahi Kahon Gi.
Kazim Ki Be Basi Ka Matam Sada Karon Gi.
Ghusal-o-Kafan Nahi Do Beta Tu Mera De Do Kuch Taras Tu Khao.
Kaisa Yeh Tum Ne Iss Ko Zalim Zehar Diya Hai.
Aankhon Se Khon Ab Tak Iss Ka Nahi Ruka Hai.
Aye Taziyane Walo Yeh Kab Ka So Chuka Hai Aisay Na Jagao.
Tum Ne Banai Hum Par Baghdad Ki Dewarein.
Hain Mere Kamsino Ki Dewaron Mein Mazarein.
Iss Shehar Mein Main Logo Ro Ro Ke Thak Chuki Hoon Na Our Rulao.
Yasrab Mein Betiyon Ko Hai Intezar Iss Ka.
Hai Betiyon Ki Khatir Tan Be Qarrar Iss Ka.
Yasrab Nahi Magar Bas Baghdad Walay Pul Tak Tum Iss Ko Le Jao.
:QURBAN: Syeda Ke Yeh Bain Aa Rahe They.
Turbat Mein Mustafa Bhi Aanso Baha Rahe They.
Bekas Ka Be Khata Ka Kazim Ka Be Nawa Ka Koi Jurm Batao.
Poet: :Qurban Jafri:
Noha Khuwan: :Qurban Jafri:
Noha Volume: :Qurban Jafri 2020-21:
#QaidiKaJanazaHai
#NohayLyrics
#tajpoint