Iss Baar Bhi Main Ne Bheja Hai Sarkar Areeza Pani Par Lyrics In Urdu and Roman Urdu
اِس بار بھی مَیں نے بھیجا ہے سرکارؑ عریضہ پانی پر
Hai Mujh Ko Yaqeen Pohanche Ga Tere Darbar Areeza Pani Par.
Jis Tarha Koi Ghar Walon Ko Khat Mein Ehwal Batata Hai.
Iss Tarha Tujh Ko Bhejte Hain Hubdar Areeza Pani Par.
Moqoof Nahi Chodah Shabaan Jab Chaho Jahan Chaho Likho.
Yeh KisNe Kaha Likh Kar Rakh Do Ik Bar Areeza Pani Par.
Gar Goor Karo Yeh Mojza Hai Jis Par Na Koi Ja Paya.
Iss Par Se Chal Kar Jata Hai Oss Paar Areeza Pani Par.
Aye Mula Tumhari Ghaibat Ke Qayal Tu Sabhi Hai Taqreeban.
Karte Hain Rawana Bas Sheh Ke Ghumkhuwar Areeza Pani Par.
Tofan Palatne Lagte Hain Khud Lehrein Hifazat Karti Hain.
Jab Behta Hai Ho Jata Hai Mukhtar Areeza Pani Par.
Aa Jaein Gaye Jab Ghaib Se Mere Mula Tu :WAJHI: :YASIR: Hum Bhi.
Har Saal Likhein Gaye Ba-Shakal-e-Ashar Areeza Pani Par.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2014-15:
#AreezaPaniPar
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com