Aaj Ki Raat Sakina Pe Bohat Bhari Hai Lyrics 2018
Aaj Ki Raat Sakina Pe Bohat Bhari Hai Mir Hasan Mir.
Baba Aa Jao Baba Aa Jao Yeh Beti Jo Tumhein Pyari Hai.
Aaj Ki Raat Sakina Pe Bohat Bhari Hai.
Aablay Dukhte Hain Hoti Hai Chobhan Kharon Ki.
Barhti Jati Hai Aziyat Mere Rukhsaron Ki.
Yehi Halat Ba-Khuda Hoti Hai Beemaron Ki.
Aisa Lagta Hai Ke Marne Ki Yeh Teyari Hai.
Apni Janib Jo Bulati Hai Yeh Zindaan Ki Zameen.
Yeh Kahin Aap Se Milne Ka Ishara Tu Nahi.
Jald Aa Jaein Na Ho Jaye Bas Ab Diar Kahin.
Aap Ke Seene Pe Sone Ki Meri Bari Hai.
Itna Sabir Hai Mera Bhai Ke Har Dukh Seh Ke.
Khon Ke Aanso Behar Haal Thehar Jate The.
Haan Magar Manga Gaya Jab Se Kaneezi Mein Mujhe.
Bhai Sajjad Ki Aankhon Se Laho Jari Hai.
Shimar Ke Durron Ne Kardi Hai Kamar Meri Nidhaal.
Mere Balon Ki Safaidi Se Ayyan Hai Mera Haal.
Ab Mujhe Dekh Ke Karte Hain Sabhi Loag Sawal.
Zard Chehra Hai Kya Iss Bachi Ko Beemari Hai.
Pyar Hai Beti Se Kitna Yeh Batana Ho Ga.
Sath Mein Sare Shahedon Ko Bhi Lana Ho Ga.
Pehla Pursa Mera Lene Tumhein Aana Ho Ga.
Aaj Zindaan Mein Sakina Ki Azadari Hai.
Sochti Hoon Be-Kafan Kaise Mera Laein Gaye.
Kis Tarha Lash Ko Bhaiyya Meri Dafnaein Gaye.
Qaidi Hathon Se Mujhe Kaise Utha Paein Gaye.
Kaisi Yeh Malik-o-Mukhtar Ki Lachari Hai.
Khak Par Thak Ke Jo Bethi Tu Tamache Khaye.
Haye Abbas Pukari Tu Tamache Khaye.
Aap Ke Naam Pe Roi Tu Tamache Khaye.
Mere Rukhsaron Pe Tafseel Likhi Sari Hai.
Baap Ko Beti Sada De Ke Yeh Boli :AKBAR:.
Kar Diye Bazo Nisar Apne Chacha Ne Mujh Par.
Uthe Ga Unka Alam Mashk-e-Sakina Le Kar.
Woh Wafa Unki Thi Yeh Meri Wafadari Hai.
Poet: :Hasnain Akbar:
Noha khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2018-19:
#AajKiRaatSakinaPe
#NohayLyrics
#tajpoint