Zindaan Mein Sakina Yeh Buka Karti Thi Ro Kar Lyrics Urdu 2004
Zindaan Mein Sakina Yeh Buka Karti Thi Ro Kar.
Dam Ghutta Hai Amma Mera Ab Yaan Se Chalo Ghar.
Kya Andhera Hai Sojhai Nahi Deta Kuch Bhi.
Hath Rakhta Nahi Amma Mere Sar Par Koi.
Our Chand Roz Mein Mar Jaon Gi Main Ghut Ghut Kar.
Khon Bhara Kurta Badal Do Mea Pyari Amma.
Apni Godi Mein Sula Lo Mujhe Wari Amma.
Sone Deta Nahi Ik Pal Mujhe Yeh Hijar-e-Padar.
Neel Rukhsar Ke Kano Ka Laho Taza Hai.
Kuch Mere Dard Ka Amma Tumhein Andaza Hai.
Rat Din Roti Hon Kar De Koi Baba Ko Khabar.
Tum Tu Kehti Thin Rehai Ki Ghari Aa Pohanchi.
Aisa Lagta Hai Judai Ki Ghari Aa Pohanchi.
Khuwab Mein Aaye The Mere Abhi Dada Haider.
Neend Aati Na Thi :REHAN: Jise Woh Bachi.
So Gayi Sham Ke Zindan Mein Yeh Kehti Hoi.
Chain Se Soaon Gi Zindan Se Jab Jaon Gi Ghar.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2004-05:
#ZindaanMeinSakina
#NohayLyrics
#tajpoint