Hussain Baant Rahe Hain Nijaat Le Jao Lyrics Urdu 2019

Hussain Baant Rahe Hain Nijaat Le Jao Lyrics Urdu 2019

Hussain Baant Rahe Hain Nijaat Le Jao.

Kuch Aansoon Ke Ewaz Kainat Le Jao.

Dosri Sani:
Baha Ke Ashk Yahan Kainaat Le Jao.

Yeh Karbala Hai Yeh Moajiz Numa Ki Basti Hai.
Kafan Mein Iss Ke Lapeto Hayat Le Jao.

Kahein Gaye Matami Halqon Se Log Mehshar Mein.
Humein Hussain(AS) Ki Janat Mein Sath Le Jao.

Nahi Karon Ga Lahad Mein Main Intezar-e-Sahar.
Farishto Karb-o-Bala Rat-o-Raat Le Jao.

Qasam Hussain Ki Pursay Mein Kam Hi Lagta Hai.
Buland Jitna Bhi Matam Mein Hath Le Jao.

Kaha Yeh Khizar(AS) Se Abbas(AS) Ne Yahan Aakar.
Hamari Mashk Se Aab-e-Hayat Le Jao.

Aye Mojo Utho Areezay Ko Sath Le Jao.
Imam-e-Asar(AS) Talak Meri Baat Le Jao.

Khuda Utarne Wala Hai Sadqa Mehdi(AS) Ka.
Rasolo Aao Naye Maujzaat Le Jao.

Kahin Gi Fatima(SA) Waqt-e-Zahoor Mehdi(AS) Se.
Larai Ke Liye Ghazi(AS) Ko Sath Le Jao.

Sanad Nijat Ki Na De Sakein Gaye Soom-o-Salaat.
Behisht Maar Ke Seene Pe Hath Le Jao.

Tumhein Khuda Se Aagar Aik Bhi Nahi Milta.
Mere Hussain(AS) Ke Bachpan Se Saat Le Jao.

Woh Zaat-e-Pak Keh Jis Ki Na Talta Ho Khuda.
Bana Ke Apna Hawala Woh Zaat Le Jao.

Woh Jis Ke Bhujte Charagon Se Deen Roshan Hai.
Fishar-e-Qabar Ki Khatir Woh Raat Le Jao.

Batool(SA) Bantein Gi Sadqa Hussain(AS) Ka Iss Raat.
Samait Sakte Ho Jitna Woh Sath Le Jao.

Jo Aaj Tak Na Mila Ho Tumhein Khuda Ki Qasam.
Woh Aa Ke Teesri Shabaan Ki Raat Le Jao.

Hain Jis Mein Barah Imamo(AS) Ke Naam Likhe Howay.
Lahad Mein Sath Woh Islamiyat Le Jao.

Gham-e-Hussain Mein Har Zakhm Mojza Hai :NAEEM:.
Saja Ke Jis Pe Kuch Maujzaat Le Jao.

Poet: :Naeem Abbas Naeem:
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2019-20:
Composition: :Sayyed Zaire Naqvi:

#HussainBaantRaheHain
#ManqabatLyrics
#tajpoint

New Manqabat Hussain Baant Rahe Hain Nijaat Le Jao

Hussain Baant Rahe Hain Nijaat Le Jao Lyrics Urdu 2019 Write Up Poster Image

Hussain Baant Rahe Hain Nijaat Le Jao Lyrics Urdu 2019

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!