Bano Ka Yeh Noha Tha Aa Jao Ali Akbar Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu and Roman Urdu
بانوؑ کا یہ نوحہ تھا آجاؤ علی اکبرؑ
Aa Jao Mere Beta Aa Jao Ali Akbar.
Hai Ghairay Hoye Lashkar Ahmad Ke Nawasay Ko.
Mazloom Musafir Ko Seh Roz Ke Pyasay Ko.
Tanha Hai Sheh-e-Wala Aa Jao Ali Akbar.
Talwaron Ki Zad Par Hain Iss Waqt Mere Wali.
Aaqa Se Mere Dunya Ho Jaye Na Yeh Khali.
Lut Jaye Na Ghar Mera Aa Jao Ali Akbar.
Iss Ghamzada Madar Ko Ab Our Na Tarpao.
Jis Ne Tumhein Pala Hai Kuch Oss Pa Taras Khao.
Kyun Roth Gaye Beta Aa Jao Ali Akbar.
Zalim Ki Jafaon Se Be Haal Jo Bachay Hain.
De Kar Tumhein Aawazein Rotay Hain Taraptay Hain.
Kuhram Hai Ik Barpa Aa Jao Ali Akbar.
Ghar Loot Chukay Zalim Ab Khaimay Jalatay Hain.
Mazlomo Yateemo Ko Hans Hans Ke Rolatay Hain.
Kartay Hain Sitam Aada Aa Jao Ali Akbar.
Sadaat Ke Khaimon Se Uthta Hai Dhowaan Haye.
Sajjad Ki Gardan Mein Hai Tauq-e-Garaan Haye.
Zainab Hai Rasan Basta Aa Jao Ali Akbar.
Main Kab Se Bulati Hoon Kyun Suntay Nahi Akbar.
Ab Dasht-e-Musibat Mein Chinti Hai Meri Chadar.
Hai Waqt Qayamat Ka Aa Jao Ali Akbar.
Woh Shair-e-Jarri Haye Phir Na Aa Saka :GOHAR:.
Jab Tak Bhi Rahi Zindah Dil Thamay Hoye Ro Kar.
Maa Karti Rahi Noha Aa Jao Ali Akbar.
Poet: :Gohar Jarchvi:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2002-03:
#BanoKaYehNohaTha
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com