Aao Chalein Hussain Sakhi Karbala Mein Lyrics 2019
Aao Chalein Hussain Sakhi Karbala Mein Hai
Jo Sab Ko Palta Hai Wohi Karbala Mein Hai.
Kitna Azeem Tar Hai Ziyarat Ka Yeh Safar.
Abbas Lene Aate Hain Hukam-e-Hussain Par.
Zair Ki Qadar Dani Bari Karbala Mein Hai.
Rote Hain Bain Karte Hain Aakar Yahan Malak.
Sadaat Ke Khiyal Se Nehar-e-Furat Tak.
Zahra Qadam Qadam Pe Luti Karbala Mein Hai.
Saqa-e-Ahl-e-Bait Hai Abbas Oss Ka Naam.
Darya Pe Qabza Kar Ke Bhi Ab Tak Hai Tishna Kaam.
Yani Mazar-e-Tashna Labi Karbala Mein Hai.
Jis Ja Sitam Ki Barchi Se zakhmi Howa Jigar.
Akbar Jahan Pe Zeen Se Aaye Zameen Par.
Ghurbat Ka Woh Muqam Issi Karbala Mein Hai.
Kano Pe Hai Rakhe Howay Woh Apne Hath Ko.
Seena Padar Ka Dhondne Aati Hai Raat Ko.
Nanhi Si Aik Bachi Koi Karbala Mein Hai.
Jati Hai Sham Mein Kabhi Aati Hai Karbala.
Umm-e-Rubab Deti Hai Ro Ro Ke Yeh Sada.
Zindaan Mein Ik Nishani Meri Karbala Mein Hai.
Hathon Mein Oss Ke Bandhi Gayi Haye Reesmaa.
Athara Jis Ke Bhai Thay Abbas Se Jawaan.
Chadar Ossi Behan Ki Chini Karbala Mein Hai.
Lamhaat Youn Mile Hain :TAKALLUM: Ko Chain Ke.
Sansein Tu Le Raha Hai Haram Mein Hussain Ke.
Tu Hai Yahan Pe Rooh Teri Karbala Mein Hai.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Qamar Baltistani:
Noha Volume: :Qamar Baltistani 2018-19:
Composition: :Sayyed Zaire Naqvi: