Dar Syeda Ka Jal Gaya Mohsin Nahi Raha Lyrics In Urdu and Roman Urdu
در سیدؑہ کا جل گیا مُحسنؑ نہیں رہا
Zahra Ne Ro Ke Yeh Kaha Mohsin Nahi Raha.
Mohsin Ki Khata Kya Thi Bata De Koi Zara.
Oss Ko Shaheed Karne Ki Aakhir Thi Kya Wajah.
Bacha Tha Mera Be Khata Mohsin Nahi Raha.
Oss Dar Ko Jalaya Gaya Jo Baab-e-Ilm Hai.
Dewar-o-Dar Ke Bain Mein Mara Gaya Mujhe.
Aakhir Ko Baba Yeh Howa Mohsin Nahi Raha.
Zahra Ne Ro Ke Baba Ko Kuch Aisay Sada Di.
Na Jane Meri Khushiyon Ko Kis Ki Nazar Lagi.
Baba Main Hoi Tanha Mohsin Nahi Raha.
Dewar-o-Dar Ke Beech Se Aawaz Yeh Aati Thi.
Mushkil Kusha Ali Karo Mushkil Ko Hal Meri.
Mushkil Mein Hoon Main Syeda Mohsin Nahi Raha.
Yeh Gham Tha Aisa Gham Keh Jawani Bikhar Gayi.
Baloon Mein Syeda Ke Jo Chandi Utar Gayi.
Hone Se Pehle Jab Laga Mohsin Nahi Raha.
Gash Kha Ke Gir Gayin Thin Wahin Dar Pe Syeda.
Lekin Jo Khoon Tha Dar Pe Laga Oss Se Yeh Khula.
Bhai Hasan Hussain Ka Mohsin Nahi Raha.
Kaisay Raqam Karon :ASAD: Pur Dard Woh Ghari.
Khoon Ro Rahe They Khuld Mein Tab Khatam Un Nabi.
Zahra Ka Jab Yeh Noha Tha Mohsin Nahi Raha.
Poet: :Asad Azmi:
NohaKhuwan: :Ali Adil:
Noha Volume: :Ali Adil 2019-20:
Composition: :Rajab Ali Khan:
#AyyamEFatimiya
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com