Jis Ke Din Raat Katay Qaid Ke Andherey Mein Lyrics 2013
Jis Ke Din Raat Katay Qaid Ke Andherey Mein Pursa Deney Ossay Zahra Bhi Tu Aayi Ho Gi.
Shehar-e-Lahore Mein Ruqaiya Bhi Bain Karti Ho Gi Our Zainab Bhi Bulayi Ho Gi.
Zehar Angoron Mein Jab Bhar Ke Diya Aik Zalim Ne Mere Maula Ko.
Mosa Kazim Ke Pak Seene Mein Zehar-e-Haroni Ne Haye Kiya Aag Lagai Ho Gi.
Maula Ijaz-e-Imamat Se Jab Chand Lamhey Bhi Ghar Gaye Hoon Gaye.
Betiyaan Ro Ke Pochti Hoon Gi Qaid Zalim Se Teri Kab Talak Baba Rehai Ho Gi.
Sham Se Aayi Sakina Ujari Apne Baba Ko Bhi Jo Ro Na Saki.
Jis Ke Pairon Mein Aablay Hoon Gaye Our Woh Roti Ho Gi Shamiyon Ki Jo Satai Ho Gi.
Kis Ne Zanjeer Utaray Tere Rasam-e-Sajjad Nibhanay Walay.
Koi Apna Tu Tere Pas Na Tha Our Maiyyat Teri Mazdoron Ne Uthai Ho Gi.
Pisar-e-Sadiq Ne Madina Ja Ke Apne Nana Ke Pak Rozay Pe.
Zakhmi Paon Dikha Ke Nana Ko Sath Mein Maula Ne Qaid Ki Yaad Batai Ho Gi.
Qaidi Imam Ke Janazay Ko Apni Nazrein Jhuka Ke Pursa Do.
De Ke Kandah Taboot Ko :AKHTAR: Aaj Jo Roye Ga Oss Ki Mehshar Mein Rasai Ho Gi.
Poet: :Akhtar Hussain Akhtar:
Soz: :Akhtar Hussain Akhtar:
Noha Khuwan: :Ravi Road Lahore Party:
#NohayLyrics
#tajpoint